Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Acha Hai Dil Ke Paas Rahay Paasbaan-e-Aqal
Lekin Kabhi Kabhaar Isay Tanha Bhi Chhor De
'Ye'
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Acha Hai Dil Ke Paas Rahay Paasbaan-e-Aqal
Lekin Kabhi Kabhaar Isay Tanha Bhi Chhor De
'Ye'
Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007
Yaad aayaa humhain kuch or bhee shidat say wo
Bhool janay kaa ussay jab bhi iraadaah chahaa
Alif
Main baat nahin karti ?
..ye jurm mujh se kab ho gayaa ![]()
aray nahin baba mazaq mein kaha tha.. jab b kuch likho bata diya karro, maira wahan jana nahin hota na ![]()
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
us shehr se guzro to itna use kehna
baqi na sune koi tanha use kehna
kuch log safar k liye mozon nahi hote
kuch raaste katte nahi tanha use kehna
-alif-
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Ajeeb rangon main guzri hai zindagi apni
Dilon pe raaj kia phir bhi piyaar ko tersay
Yeh
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Yay khaber sun ker keh falak per hai aayaaN eid ka chaand
Dil ki shakh per kaii dard kay taray chamkay
Hum nay daikha to ufaq per tha samander ka sakoot
Haan teray sath jo guzray wo nazaray chamkay
" Yay "
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
ye sare per pode tum bin kai raat jage hen
tum aa kar aik baar in ko sula do phr chale jana.
alif
Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007
Aaj aaya hai hamain bhi un uranon ka khayal Jinko tairay za'um main bay bal-o-pur kartay rahayye ![]()
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Ye jaan kar k wo kismat me nahi hai
Phir bhi usse panay ki aas rehti hai
Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007
Ye tamanna hai Rab se k bhool jaoon main sab kuch lekin yeh yaad hai kay humari rag rag main samaai haiye ![]()
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Yoon kis tarahan katy ga kari dhoop ka safar
Sar par khayal-e-yar ki chadar he lay chalain
Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007
Yeh Muhabbat bhi kiya ajab rog hai Faraz key jisay bhoola woo sada yaad ayaalif ![]()
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Ab agar aao to jane ke liye mat aanaa
Sirf ehsaan jatane ke liye mat aanaa
Maine palkon pe tamana saja rakhi hai
Ye haseen shaamnen bhujane ke liye mat aanaa
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
ye
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Itnay jhatkay say to parbat bhi ukhar jatay hain
tu nay dheeray say to daman ko churaya hota...
Alif
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Usay Apni Farda Ki Fikr Thee Wo Jo Mera Waqif-e-Haal Tha
Wo Jo Uss Ki Subh-e-Urooj Thee Wohi Mera Waqt-e-Zawal Tha
'Alif'
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Akhir mairi wafa ka mujhay kia mila samar
likha na aik harf bhee uss ne jawab mein
Noon
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Nahi Aati To Un Ki Yaad Maheenon Tak Nahi Aati
Magar Jab Yaad Aatay Hain To Aksar Yaad Aatay Hain
'Noon'
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Nainon k deep kis liye roshan hain is qadar
main ne kaha k aaj mukhaliff hawa nahinn
Noon
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Na'Haq Khayal Kertay Ho Dunya Ki Baat Ka
Tum Ko Kharab Jo Kahay Wo Khud Kharab Hai
'Ye'