Bait Bazi--Month of Nov---2007

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Nasir`yeh wafa nahin junoon haii
apna bhi na khair khwaah rehnaa

Alif

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Acha Khaasa Bethay Bethay Gumm Ho Jata Hoon
Abb Main Aksar Main Nahi Rehta Tum Ho Jata Hoon

'Noon'

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Naakaam-E-Tamannaa Dil Is Soch Me.N Rahataa Hai
Yuu Hotaa To Kyaa Hotaa Y.N Hotaa To Kyaa Hotaa

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Aisay Raha Karo Ke Karain Log Aarzu
Aisay Chalan Chalo Ke Zamana Misaal De

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Yunhi zra si kasak hai dil mein jo zakhm gehra tha bhar gaya wo
kuch ab sambhalne lagii hai jaan b badal chala daur-e-asmaan b

Yeh

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Ye Aarzu Thi Tujhe Gul Ke Ru'baru Kertay
Hum Aur bulbul-e-Betaab Guftugu Kertay

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Yun Zindagi Guzaar Raha Hun Tere Baghair
Jaise Koi Gunah Kiye Jaa Raha Hun Main

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Neend tarse gi mairi aankhon ko
jab bhii khvabob sey dostii hogii

Yeh

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Ye Rakh Rakhao Muhabbat Sikha Gai Usko
Wo Rooth Ker Bhi Mujhe Muskura Ke Milta Hai

'Ye'

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

yehi nahin ke hamain tour gaya hai koiii
usse bhi bohat dair khud ko jorna hoga

Alif

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Ab Ke Woh Dard De Main Roun Tamaam Umar
Ab Ke Laga Woh Zakhm Ke Jeena Mohaal Ho

Wao

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Wohi na-khush hai yahan jis se mohabbat ki jaye
abb tou jii mein hai, kahin tott ke nafrat kii jaye..

yeh

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Ya'Rub Wo Na Samjhay Hain Na Samjhain Ge Meri Baat
De Aur Dil Un Ko Jo Na De Mujh Ko Zubaan Aur

'Ray'

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Rah-e-talab mein jazba-e-kamil ho jiss k saath
khud usko dhoond layti hai manzil kabhi kabhi

Yeh

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Yeh Saaneha Bhi Mohabbat Mein Baarha Guzra
Keh Usne Haal Bhi Poocha To Aankh Bhar Aai

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Ye raaz samajh mein kab aata, aankhon ki nami se samjha hon
iss gird-o-gubaar kii duniya mein sabb sey sachaa paanii haiii...

Yeh

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Ye Kahan Ki Dosti Hai Ke Banay Hain DOst Naasih
Koi Chaara'saz Hota Koi Gham'gusaar Hota

'Alif'

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Aks-e-khushbu hon bikharne se na rokay koyii
aur bikhar jaun tou mujh ko na samaitay koyii
kaanp uth-ti hon main ye soch k tanhaii mein
maire chehre pe taira naam na parh lay koyii

Yeh

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Yaa Tou Mitt jaa'iay Yaa Mittaa diji'ay
kiji'ay Jab Bhi Sauda Kharaa kiji'ay

Ab Jafaa Kiji'ay Yaa Wafaa Kiji'ay
AaKhari Vaqt Hay Bas Duaa Kiji'ay

yay

Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007

Yay shart hai dastak ho ager dast-e-yaqeen say
Dar choor kay dewaar bhi khul jay kaheen say
Lagta hai sach much kaheen mojood hai duniya
Hum wehm bhi kertay haiN to kertay haiN yaqeeN say

"Yay"