Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007
oyee.. ![]()
maire thorri na hain.. ![]()
Yeh main b kia hon usse bhool karr ussi ka raha
ke jiske saath na tha, humsafar ussi kaa rahaa
Alif
Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007
oyee.. ![]()
maire thorri na hain.. ![]()
Yeh main b kia hon usse bhool karr ussi ka raha
ke jiske saath na tha, humsafar ussi kaa rahaa
Alif
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
^ duffer, itna to mujhe bhi pata hai k yeh sab tumhari nahi hain.
par still. as far as its under ur collection. so U U n only U get the credit at the moment.
Aie Dil Apne Maseeha Se Bhi Umeed Na Rakh
Woh Tang-Dil Hai Tere Zakhm Ki Gehraai Bahut
"Ta"
Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007
Khud hoge duffer, jaao main nahin khailti aap k saath.. ![]()
saara dheyan baaton mein laga diya hai ![]()
“Ta Ta” ![]()
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
aww. shorree.. nahi naih. thora sa aur khel lo. plzz plzz
me ko aur shairee chahie..!!!
jao kattie.. bohot buri ho tum .
sniff sniff
acha na, mein batein nahi karonga.
pakka..
serious, bas shairee.!!!
Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007
Iss mein kia shak hai, woh to main hon.. ![]()
Tu subah baharan ka haseen khvaab hai phir b
aahista zraa auss kii boondon pey chala karr..
Ray
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Raaz Ke Raaz Ka Samjhna Koi Aasaan Nahi
Pehle Utar Mere Ashaar Ki Gehraai Mein
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Na raaste hi rukay aur na hamsafarr thehra
faqat saarab-e-safar sa pass-e-safar thehra
Alif
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Azam-E-Insaan Hai Keh Ban Jaaye Farishta Lekin
Har Farishte Ko Yeh Hasrat Hai Keh Insaan Hota
Alif
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
usko hamare pyaar se inkaar tou nahin
maana jafa-shaa'r hai be-zaar tou nahin
jaati huii bahar ko main kaisey rokon...
qaabu mein maire waqt ki raftar to nahin
Noon
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Nigaah-E-Shauq Sar-E-Bazm Be-Hijaab Na Ho
Woh Be-Khabar Sahi Itne Be-Khabar Bhi Nahi
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Naam likhti hain lakeerain kis ka..
kaun rehta hai bhala hathon mein
Noon
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Na Jaane Kyon Mujhe Us Se Hi Khof Lagta Hai
Mere Liye Jo Zamane Ko Chor Aaya Hai
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Yeh khud azziyati kab tak Faraz`tu b usse
na karr yaad jisse bhoolne ki aadat haiii..
Yeh
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
ye kaisa isteyaaqi deed aur kaisi majboori
kisi ki bazm tak hum kyoon jaa jaa ke laut aate hain
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Na dil maangti hai na jaan maangti hai
mohabbat gham-e-jawedan mangti hai
yeh kab sirf aah-o-fagaan maangti haii
wafa sozish-e-jism-o-jaan maangti haii
Yeh
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Ye toh sadiyo ki ibaadat ka sila hota hai
har kisi ki kismat mein kahaan ishq likha hota hai
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Aap Lillah Meri Fikar Na Kijiye Hargiz
Aa Gaye Hain Bas Yunhi Shauq Ke Mare Aansu
Mere Honton Ko To Jumbish Bhi Na Hogi Lekin
Shiddat-E-Gham Se Jo Ghabra Ke Pukaare Aansu
"Wao"
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Wohi gardishein wohi pech-o-khum taire baad b
wohi hausle maire dam ba dam taire baad bhiii
Yeh
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Ye mere ishq kii majabuuriyaa.N ma'az-allaah
Tumhaaraa raaz tumhii.n se chhupaa rahaa hu main