Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
the pleasure is all mine : )
Har Qadam Per Gire Magar Seekha
Kaise Girton Ko Thaam Lete Hain
Noon
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
the pleasure is all mine : )
Har Qadam Per Gire Magar Seekha
Kaise Girton Ko Thaam Lete Hain
Noon
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Na jaanay kis qadar bikhre huve thay
ye tinke aashiyan bann-ne se pehley
hamaara aasman sey raabta tha..
saron per saaye'ban ban-ne se pehle
Yeh
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Yeh Meri Waaraftaghi, Ma'az-Allah
Tum Bhi Aaye To Kuch Khabar Na Hui
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Yeh taira zabtt aurr woh shola saa aadmii
surajj kay aagay moam ki deewar mat bana
shayad wo taire munh pe hi sach bolne lagay
chehre ko aa'iney ka parastaar matt banaa
Alif
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Aap kehtay thay ronay say na badlengay naseeb
Umr bhar aap kee is baat nay ronay na dia
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
ajab tha karam mohabat k jis nay dil pay meray **
**saza bhi payee nahi or mauf bhi na hu'wa
"alif"
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
^beautiful!
Ek Meri Dua Ek Khuwaab Tera Donon Ka Muqaddar Yaksaan Tha
Taseer Kabhi Mil Na Saki, Ta'beer Sada Maadoom Rahi
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Yeh to apna shaa'ar hai warrna
kaun karta hai yun wafa tanha..
dasht sa dasht-e-tanhai hai Rasa`
phir raha hon ghubaar sa tanhaa
Alif
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Itni Duur Se Mujh Ko Aawaaz Na Do Tum Yaar
Meray Andar Apna Shor, hai Apni Cheekh Pukaar
'Ray'
Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007
Rattt jagay barha liye isi hisab mein hum ne
mohabbat tumko hai? nahi hai? thi? nahi thi? ![]()
:yeh:
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
yaa to miT jaaye yaa miTaa dijiye
kiijiye jab bhii sauda khara kijiye
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Ye Bhi Nahi Ke Tum Hanso Buhat Magar
Ro Ro Ke Mai'kada Na Bharo, Khush Raha Karo
'Wow'
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Woh haar kar b jeete hum jeete kar bhi haray
aise bhi khail hum ne khailay hain zindagi mein
Noon
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Na shikayatein, na gila karey
Koi aisa shakhs hua karey
Jo merey liye hee saja karey
Mujh hee sey Baatein kiya karey
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Ye Baatain Jhooti Baatain Hain Ye Logon Ne Phelai Hain
Tum Insha'Jee Ka Naam Na Lo Kia Insha'Jee Sodai Hain
'Noon'
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Nazr kartaa rahaa maiN phuul ke jazbaat use
Jisne patthar ke khilonoN se mujhko bahlaayaa
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Aa Andaleeb Mil Kar Karen Aah-Wuzaariyan
Tu Haai Gul Pukaar Main Chillaun Haai Dil
Lam
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
labon pe geet to ankhon mein khvab rakhte thay
kabhi kitabon mein hum bhi gulaab rakhte thayy
kabhii kissii kaa jo hotaa thaa intizaarr hamain!!
barra hi shaam-o-seharr ka hisaab rakhte thay..
Yeh
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
YouN to ghalat bhi nahiN chehrooN ka tasur
Log vaisay bhi nahiN jaisay nazer aatay haiN
** "Noon"**
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Na Kisi Ke Dil Ka Qaraar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sakay, Main Wo Aik Musht-e-Ghubaar Hoon
'Noon'