Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Aankhoo'n mein basa letey hain roothey huye manzar
jatey huye logoo'n ko pukaara nahi kartey
mar jaayein par haar na maanein gey apni
ham to wo hain jo mar ke bhi haara nahi kartey
yey
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Aankhoo'n mein basa letey hain roothey huye manzar
jatey huye logoo'n ko pukaara nahi kartey
mar jaayein par haar na maanein gey apni
ham to wo hain jo mar ke bhi haara nahi kartey
yey
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Youn Teri Tammana Mere Dil Ko Dukhaati Rahi
Jab Bhi Muskuraana Chahaa Aankh Bhar Aati Rahi
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Yeh mohabbat kaa safarr yeh manzilein tou faqat naseeb kii baat haii..
jo bhatak rahe thay pohanch gaye jo pohanch chukay thay bhatak gaye
Yeh
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
^ wah...
Ye Seedhi Rah Per Chalna, Kahan Se Seekh Aye Ho
Ye Rasta Doosti Ka Hai, Ye Terra Ho Bhi Sakta Hai
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Yeh maira weham sahii phir b yun na ho ke kahin
mujhe na paa kar woh khud ko sazayen dayta ho
wao
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Woh Hi Achche Hain Hum Se Mare Hain Jo Furqat Mein
Maze Se Qabar Mein Sona, Na Kuch Kehna Na Kuch Sunna
ALif
Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007
ankho'n mein teri deed k kashkol thaam ker dil teri justajoo mein bohat beqaraar haiye ![]()
hello sush ![]()
Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007
Yun to zabtt bohat hai hum mein laikin…
ankh tak aye ansu peena mushkil hota hai
Yeh
hii shabbo..
Tum kahan chup k baithi huii ho ![]()
Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007
Mere khuloos-e-muhabbat ko yeh gumaa bhi na tha Tu ram karegaa kabhi ahooye khatan ki tarahaalif ![]()
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Aie Ishq Ki Be-Baaki, Kya Tune Kaha Un Se
Jis Per Unhen Gussa Hai, Inkar Bhi, Hairat Bhi
Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007
mai kaha chupi ho idhar hi ho tum hi gaieb ho ![]()
Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007
Ye aur baat k dushman huva hai aaj magarr..
woh maira dost tha kal tak usse bura na kaho
wao
Kahan ghayab hon yaar, pata nahin main kissi ko nazar kyun nahin aati ![]()
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Woh Khud Ataa Karen To Jahunnum Bhi Hai Bahisht
Maangi Hui Nijaat Mere Kaam Ki Nahi
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Na jaanay kis ne baghawat ki rasm daali hai
k muttahid kabhi shaam-o-seher nahin hotay
Yeh
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Yeh Niyaaz-E-Gham Khuwaari Yeh Shikast-E-Dildaari
Bus Nawazish-E-Jaanaan Dil Bahut Pareshaan Hai
Yeh
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Yadon ki dehleez pe baithay pehron jisko socha tha
uske jaane pe yaad aaya kia kia uss sey kehna tha
Alif
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
i seriously luv u . .. . too good.. zabardats.. hats off to u madame.!
Aap Ke Naam Se Taabinda Hai Unwaan-E-Hayaat
Warna Kuch Baat Nahi Thi Mere Afsaane Mein
Re: Bait Bazi–Month of Nov—2007
Na shehar yaad raha hai na gham na pagal-pan
bhula diya buhat kuch tujhey bhulatay huvayy..
Yeh
Thankew.. ![]()
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Yaa Rab Zamana Mujh Ko Mitata Hai Kis Lye
Lauh-E-Jahaan Pe Harf-E-Mukarrar Nahi Hun Main
"apke ashar parhe ke khud dil karta hain tareef karne ko..
very nice collection."
Re: Bait Bazi--Month of Nov---2007
Buhat Shukriya Sinner Tareef aur pasand karne ka.. :)
Naii ruton ka payaam de kar hawa ki maanind chala gaya woh
purani chahat kay deep saaray hamaray dil se bujha gaya woh
jo nikle tujh ko talashne tou khula hum pey yehh muamlaa bhi
k raston mein jo ban gaye thay woh naqsh sare mita gaya woh
Hey