Bait Bazi... Month of March..2008

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

Yunhi Mausam Ki Adaa Dekh Ke Yaad Aya Hai
Kis Qadar Jald Badal Jatay Hain Insaan, Janaan

'Noon'

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

Na Jaanay Kaun Dua'oon Main Yaad Rakhta Hay
Main Doobta Hoon Tou Daryaa Uchaal Dayta Hay

Yay

Re: Bait Bazi... Month of March..2008


yehi nahi k zamanay maiN aash'na na mila
sitam tu ye hia k wafa'ooN ka bhi sila na mila

"alif"

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

Aisay Raha Karo Ke Karain Log Aarzu
Aisay Chalan Chalo Ke Zamana Misaal De

'Ye'

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

yuon tu mehfil men hazaron thy haseen chehry magar....

 ye haqeeqat hy k tujhsa dosra koi na th.........

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

yuon tu mehfil men hazaron thy haseen chehry magar

ye haqeeqat hy k tujhsa duosra koi na thaa.......

             alif

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

   is zeest ka haasil ay hamdam sach pouch tu wo chand aanso thy

   ju waqt e judaai nlkly thy par sharam k maary beh na saky..........


               ye

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

Ye khamoshi b hamari ana ka parda hai
sawal puchtay raho jawaab rehnay doo
safar kaa saath tha manzilon kaa nahin
guzar hi jayen ge lamhe hisab rehnay do

wao

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

Wo bay - hisii hai shikist dil say munir
Koi bichar ker juda ho jay to ghum nahiN

" Noon "

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

Nahin nigaah main manzil tou justuju hee sahee
nahin visaal mayassar tou aarzu hee sahee

YEH

Re: Bait Bazi... Month of March..2008


ye itni raat koN dastakaiN day gha
kahiN hawa ka he is ne roop dhaara na ho

"wao"

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

wo mera dost hy saary jahan ko hy maloom...!

     dagha kary wo kisi sy tu sharam aay mujhy....


                ye

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

Yay raaz us per khulay ga jo khud ko pehchanay ga
Keh ek yaqeeN ki manzil bhi hai gumaaN kay baad

" Daal "

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

dil dharaknay ka sabab yaad aayaa......


wo teri yaad thi ....,ab yaad aayaa.......!


** alif**

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

aa'j insaa'N ka chahra tu hia suraj ki tarha
rooh maiN ghoor undharay ki siwa kuch b nahi

"ye:

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

yaadon ki mez par koi tasweer chhuor du.....


kab se hamary zehen ka kamra odaas hay....


** ye**

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

Yeh Tasal'lee Hay K Hain Nashaaad Sab
Main Akaylaa Hee Naheen Barbaad Sab
Chaar Lafzoo'n Main Kaho Jo Bhi Kaho
Us Ko Kab Fursat Sunay Faryaad Sab

Bay

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

badaltey waqt kaa ik silsilaa sa lagta hey
ke jab bhii dekho ussey duusara sa lagta hey
terii nigaah ko tamiiz rang-o-nuur kahaaN
mujhey tou Khuun bhii rang-e-hina sa lagta hey

Ye''

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

Yaadain Chaleen Khayal Chala Ask e Tar Chalay
Lay Kar Payam e Shauq Ka'ee Naamabar Chalay
Dil Ko Sanbhaltay Rahay Har Haadsay Pay Hum
Ab Kiya Karain Keh Khud Tayray Gaysoo Bikhar Chalay

Yay

Re: Bait Bazi... Month of March..2008

Yehi hai zindagi kuch khwaab chand umeedein
inhi khilonoon sey tum bhi behal sako to chalo

wao