Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Asar Usko Zara Naheen Hota
Ranj Rahat Fazaa Naheen Hota
Tum Humaray Kissi Tarah Na Howay
Warna Dunya Main Kiya Naheen Hota
alif
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Asar Usko Zara Naheen Hota
Ranj Rahat Fazaa Naheen Hota
Tum Humaray Kissi Tarah Na Howay
Warna Dunya Main Kiya Naheen Hota
alif
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Ajab tarah ka hey mosam ke khaak urrti hey
wuh din bhi they ke khiley they gulaab aankhoN meiN
Noon''
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Naa Haara Hay Ishq Na Dunyaa Thaki Hay
Diya Jal Raha Hay Hawaa Chal Rahee Hay
Sukoo'n Hee Sukoo'n Hay Khushi Hee Khuushi Hay
Tayra Ghum Salamat Mujhay Kiya Kamee Hay
yay
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
YaadoN ke diye hum ney jalaaye they raat bhar
Da'm-e-Subah yuN lagaa bujhaaye they raat bhar
dekhtey rahey chaand sey baadal kii AThkheliyaaN
Waqt-e-Firaaq bhi taarey jagmagaye they raat bhar
Re''
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Raah Aasaan Ho Ga'ee Hogee
Jaan Pehchaan Ho Ga'ee Hogee
Phir Palatt Kar Nigah Aa'ee Nahee'n
Tujh Peh Qurbaan Ho Ga'ee Hogee
Yay
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
yahii buhat hey ke dil us ko dhuhnd laayaa hey
kisii ke saath sahii wuh nazar tou aayaa hey
Ye''
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Yuunhi Mausam Ki Adaa Dekh Ke Yaad Aya Hai
Kis Qadar Jald Badal Jatay Hain Insaa'n Janaa'n
'Noon'
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
noon
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
na thi haal ki jab hamain apni khabar rahay dekhtay ouroon kay aib-o-hunar
pari apni buraiyoon pay jab nazar to jahan main koi bura na raha
Alif
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
ye
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
yon to galat nahi hai chehron ka tausar bi magar
log waise bhi nahi jaise nazar aate hain
yeh
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
^
nice shair star :)
Yeh theek hai koi marta nahi judai main
Khuda kisi ko kisi se magar juda na karay
ye
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Yeh kon chupkay se tanhaaiyo'n main kehta hai
Mere baghair sukooon umer bhar nahi milna
Alif
Re: Bait Bazi… Month of March..2008
ATA hi nahi dil mein rihayee ka tasawur bohat abjeeb jurm-e-mohabbat ki saza hai
ye
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
yehi buhut hay kay dil us ko dhond laya hay
kisi kay sath sahi wo nazar to aaya hay
karo shikayatain takta rahoon kay pyaar karon
gai bahar ki sorat wo lout aaya hay
Yeh
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
ye
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
ye dil buhut udas hay jab say khabar hoi
miltay ho tum khuloos say har ajnabi kay sath
Hey
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Hum Zindagi Ki Jung Main Haaray Zarur Hain
Lekin Kisi Mahaaz Se Paspa Nahi Huay
'Ye'
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Yeh shehar-e-sadaqat bhi ajab shehar hai
yahan aik shakhs bhi, sacha nahin dekhaa
Alif
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
yeh jo shart-e taaluq hay kay hum ko hay judaa rehna
Tu khawabon mein bhi kuon aao, khiyalon mein bhi kuon rehna<!-- google_ad_section_end -->