Re: Bait Bazi… Month of March..2008
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
** Ye taqdeer ki heiN chaaleiN ke badli hui hey baazi**
** jo mera chaara'gar tha meiN usi ka hooN nishaana**
** "Hay"**
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Hai Dua yad magar harf-e-dua yad nahi
Meray Naghmat ko Andaz-e-nawa yad nahi
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Nadaan Tha Jo Parinda Wo Urr Urr Ke Thak Gaya
Jo Ramz Aashna Tha, Tah-e-Daam So Gaya
'Alif'
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Ek teray na honay say mousam-e-baharaaN maiN
Khaar ban kay chubhti hai phool ki numaish bhi
Pehlay hi sitam kab thay kam wafaa ki rahooN maiN
Or ab karaiN gay wo dil ki aazmaish bhi
" Yay "
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Yeh soch k palkon mein chupa layta hon aansu
girr kar yeh mairi aankh se ho jaye na be-ghar
Ray
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Roshni Le Ke Buhat Duur Khari Hai Dunya
Mujh Se Kehti Hai Teray Paas To Saya Bhi Nahin
'Noon'
Re: Bait Bazi… Month of March..2008
Nahi ab to koi malaal bhi , kisi wapsi ak khayaal bhi gham-e-bekasi ne mita diya merey dil mein tha agar koi tujhey kya khabar ke raat bhar , tujhey dekh paney ko ik nazar raha saath chand ke muntazir teri khirkhiyoo'n ke idher koiye ![]()
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Yuun To Her Shaam Umeedo'n Main Guzar Jaati Thi
Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya
'Alif'
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Apni Zaat ke mehwar mein tujhey Zum kar loon
Ibaadaton mein tera Ishq bhi raqam kar loon
Terey Ashkon se ho agar "Wazoo" na-mumkin
Mein terey Jissm Ki Matti se "Tayamum" kar loon
noon :D
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Na Mila Ker Udaas Logon Se
Husn Tera Bikher Na Jaye Kaheen
'Noon'
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Naa janay kaun si majbooriyon ka qaidi ho..
wo sath chohr gaya hai tou be-wafa na kaho
wao
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Vafaa Kay Khvaab Muhabbat Ka Aasra Lay Jaa
Agar Chalaa HaY Tou Jo Kuch Mujhay Diyaa lay Jaa
Maqaam-e-Sud-o-Ziyaa'n Aa Gaya Hay Phir Jaanaa'n
Yay Zakhm mayray Saheei TEER Tou Uthaa Lay Jaa
alif
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Iss Saadgi Pe Kaun Na Mer Jaye Ay Khuda
Lartay Hain Aur Haath Main Talvar Bhi Nahin
'Noon'
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Na utha sakooN gi hath maiN, meray hath haiN lahoo lahoo
Meri zaat ki jo haiN kirchiyaaN tum rakh sako to samait lo
" Wao "
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Wo Keh Rahi Thi Samander Nahi Hai Aankhain Hain
Main Unn Main Doob Gaya Aitbaar Kertay Huay
'Ye'
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Yoo'n Unkee Bazm-e-Khamoshiyo'n Nay Kaam Kiya
Keh Sab Nay Mayree Muhabbat Ka Ahtraam Kiya
Zamana Un Ko Hamaysha Hee Yaad Rakhayga
Woh Jisnay Ishq Ki Dunyaa Main Apna Naam Kiya
alif
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Iss Qadar Musalsal Theen Shiddatain Judai Ki
Aaj Mainay Pehle Baar, Uss Se Bewafai Ki
'Ye'
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Yahaa'n Tak Aatay Aatay Sookh Jaatee Hai'n Sabhi Nadyaa'n
Mujhay Maloom Hay Paani Kahaa'n T'theraa Hovaa Hoga
alif
Re: Bait Bazi... Month of March..2008
Aata hey yaad mujhko guzra huwa zamana
wuh baagh ki bahaareiN wuh sab ka chehchana
lagti ho chot dil par aata hey yaad jis dam
shabnam ke aansuoN par kaliyoN ka muskurana
Alif''