Bait Bazi Month of July 2008

Youn wehshat-e-rukhsat maiN na is dil ko rakha ja'ay
Jana hai kisi ko to achanak hi chala ja'ay
Ay gardish-e-doraaN teray ehsan bohot haiN
Kuch teray sath bhi ab raqs kia ja'ay

" Yay "

Re: Bait Bazi Month of July 2008

ye fakhr tu haasil hy,bury hen k bhaly hen...


du chaar qadam hambhi tery saath chaly hen


noon

nahi nighaoo'n mai manzil to justaju hi sahi
nahi wasal muasir to arzoo hi sahi
na tun mai khoon faraham na ashq ankhoo'n main
namaz-e-shooq to wajib hai bewazu hi sahi

ye

Yeh Kis Key Ishaarey Pey Umad Aaye hAin Badal
hAi kOun jO Baarish Kabhi hOney Nahien Daita

"Alif"

Re: Bait Bazi Month of July 2008

aaraasta tu kher na thi apni zindagi...


par issy qabl itni pareshaan bhi na thi


yee

Re: Bait Bazi Month of July 2008

yOn Jashn e Wafa Mana Raha hOn Har dArd Pey mUskura Raha hOn
Har Shakhs kO mUjh Sey mUhabbat hAi Har Shakhs kO Aazma Raha hOn

"nOon"

Re: Bait Bazi Month of July 2008

Nahin tera Nasheman Qasr-e-Sultani k Gumbat par

Tu shaheen Hai Basera ka Paharon ki Chatano par

"RAY"

Re: Bait Bazi Month of July 2008

Rehnay dO hUm kO Warna Yeh jhOoti TasaliyaaN
**hUm Jantey hAin hUm Pey kOi MeharbaaN Nahien **

"nOon"

Re: Bait Bazi Month of July 2008

na rahaa junoon-e-rukhe wafaa,ye rasan,ye daar karugy kiyaa


jinhen jurm-e-ishq pay naaz thhaa,wo gunaah gaar chaly gayy


yee

Re: Bait Bazi Month of July 2008

Yahan se Ab kahin le chal Khayal-e-yaar mujhey
Chaman mein Raas na Aeygi Ye Bahaar Mujhey

Ye

Re: Bait Bazi Month of July 2008

ye theek hy nhi martaa koi judaai men.......

khudaa kissi sy kissi ko magr judaa na kary

yee

Re: Bait Bazi Month of July 2008

*yaad nahin kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
us ki galiyo.n se jab lauTe apnaa bhi ghar bhuul gaye *

Ye

Re: Bait Bazi Month of July 2008

ye na thii hamaarii qismat ke visaaleyaar hotaa
agar aur jiite rahate yahii intazaar hotaa

Alif

Ab kon daikhta hai teray shams ki traf
Sooraj mukhi kay phool shuaooN say dar ga'ay
RangeeN fiza maiN jal gayeeN khamoosh titliyaaN
Aanchal uray to phool fizaooN say dar ga'ay

" Yay "

yaaro mujhe mu’aaf karo mein nashe mein huuN
ab do to jaam khaali hi do mein nashe mein huuN

yeh kuch ziada hi nahi araha ..:hmmm:

Na tamazat meri zaroorat na chah mujh ko sa'ay ki hai
Anna parastooN ka jab ziker ho tareekh meri misal likhay

** " Yay "**

Re: Bait Bazi Month of July 2008

Yuun Buhat Hans Ke Mila Tha, Lekin
Dil He Dil Main Wo Khafa Ho Jesay

'Ye'

**Yeh Marhala Bhi Merii HairatOn Ney Dekh Liya
Bahaar Meray Liye Aur Main Tahii DamaaN

"nOon"**

Re: Bait Bazi Month of July 2008

na tu men kissi kaa raqeeb hon,na tu men kissi ka habib hon


ju bighar gaya wo naseeb hon,ju ojarr gaya wo deyaar hoon


noon

Re: Bait Bazi Month of July 2008

Nikala mUjh kO Jannet Sey Fraib e Zindgii Dey Kar
Diya Phir ShOuq Jannet Ka Yeh Khairaani Nahi Jaatii

"Yee"