Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Naseer` khail nahin hai sha'urr-e-zaat-o-sifaatt...
Khuda shanaas kahan woh jo khud shanas na ho
wao
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Naseer` khail nahin hai sha'urr-e-zaat-o-sifaatt...
Khuda shanaas kahan woh jo khud shanas na ho
wao
Wo mujh say pooch baitha hai mohobbat kis ko kehtay haiN
KitabooN say daleelaiN dooN ya khud ko samnay ker dooN
" Noon "
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Na khushi fath-e-azeem ki, Na malaal shikast-e-faash hay
Meri zindagi bhi ajeeb hay, Na urooj hay Na zawaal hay
"Ye"
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Yehh tairi yaad hai yaa mairii azziyat koshii
ik nashtar sa rag-e-jaan k qareeb aaj b hai
Yeh
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Yay Aankh Ronay Ki Shiddat Say Laal Thorri Hay
Malaal Hay Magar Itnaa Malaal Thorri Hay
Bas Apnay Hee Waatay Fikarmand Hain Sab Log
Yahaan Kissi Ko Kissi Ka Khayaal Thorri Hay
Yay
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Yun tou hazaaron gul hain lala-e-hasti mein..
wafa ki ho jis mein khushbu wo kali nahin milti
Yeh
Yay sal bhi guzra hai teray pyar ki manind
Aatay hoay kuch or tha jatay hoay kuch or
" Ray "
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
royaa karainge aap bhi paharon isi tarah
atakaa kahin jo aap kaa dil bhi meri tarah
naa taab hijr main hai naa aaraam vasl main
kambaKht dil ko chain nahin hai kisii tarah
"Hay"
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Haal-e-Dil Hum Bhi Sunatay Lekin
Jab Wo Rukhsat Hua, Tab Yaad Aaya
'Alif'
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Aa tujh ko batata hun taqdeer e umam kia hai
shamsheet o sana awal taawoos o rubab aakhir
Rooh maiN meri aaftab, mera naseeb tergi
Meri talash roshni, meray qareeb tergi
Meray hujoom-e-yaas nay din ko bhi raat ker diya
Meray lahoo maiN rach ga'i, aisi ajeeb tergi
" Yay "
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Ya Aur Baat Ke Tum Se Gila Nahin Kertay
Malaal Kion Nahin Hota, Malaal Hota Hai
'Ye'
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Yun tou kehne ko bohat se loug shanasaa maire
kahaan layy jaaun aey dil-e-tanhaaa mairayy...
mujh ko iss abr-e-baharaan se hai kab ki nisbat
parrr muqaddarr mein wohii pyaas k sehra maire
Yeh
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Ye Kia Ke Bayaan Sab Se Dil Ki Halatain Kerni
Faraz Tujh Ko Na Aai Mubattain Kerni
'Ye'
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
yaar ko raghbat-e-aghyaar naa hone paaye
gul-e-tar ko havas-e-Khaar naa hone paaye
aap jaate to hain is bazm main lekin "Shibli"
haal-e-dil dekhiye izhaar naa hone paaye
"ye"
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Ye Kia Jageh Hai Dosto Ye Konsa Diaar Hai
Had-e-Nigaah Tak Jahaan Ghubaar He Ghubaar Hai
'Ye'
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Yuhn Jo Aatay Thay Aankhoon Main Chand Sitaray Lay Kar
Jaanay Kis Dais Ga'ey Khwaab Humaray lay kar
Kitnee Hee Dooor Chalay Jain Woh Hum Say laykin
Waqt Aa'ega Unhain Paas Humaray Lay Kar
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Rukhsat Hovaa Tou Baat Mayree Maan Kar Gaya
Jo Kuch Tha Uss Kay Paas Mujhay Daan Kar Gaya
Bichraa Kuch IsAda Say Keh Rut Hee Bagal Ga'ee
Ek Shakhs Saaray Shaher Ko Veeraa'n Kar Gaya
AliF
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
ab k hum bichray tou shayed kabhi khawabon main milain
jaisay sookhay huay phool kitabon main milain
"noon"
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Na Seh Sakoon Ka Gham-e-Zaat Ko Akela Main
Kahan Tak Aur Kisi Per Karoon Bharosa Main
'Noon'