Meri yadooN kay her naqsh mita day koi
Sookhay patooN k yay dhair jala day koi
Meri pehchan ka aik shaks us k shehr maiN hai
Main zinda hoon yay zara us ko bata day koi
" Yay "
Meri yadooN kay her naqsh mita day koi
Sookhay patooN k yay dhair jala day koi
Meri pehchan ka aik shaks us k shehr maiN hai
Main zinda hoon yay zara us ko bata day koi
" Yay "
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Yun wehshat-e-rukhsat mein na is dil ko rakha jaye
jaanaa haii kissi ko tou achaanak hi chalaa jaaye..
aey gardish-e-dauraan taire ehsaan bohatt haiinn
kuchh dairr taire saath bhee abb raqss kiyaa jaaye
Yeh
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
ye mojazaa bhii muhabbat kabhi dikhaaye mujhe
ke sang tujh pe gire aur zaKhm aaye mujhe
vo maharabaan hai to phir iqaraar kyun nahi karataa
vo badagumaan hai to so baar aazamaaye mujhe
"yeh"
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
yaaden tere khaloos ki dasti hen aaj bhi
milne ki arzu main tarasti hen aaj bhi
ye
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Yoon Hasaas hona moot hai insaan ki
zinda rehne ke liye kuch behisi darkar hai
Ye
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
*ye kis ki chashm-e-fussun-saaz ka karishma hai
ke Toot kar bhi salammat hein dil ke buut-Khaane
"ye"
*
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
ye shab-e-firaq ye bebasi hain qadam qadam pe udaasiyaan
meraa saath koi na de sakaa meri hasaraten hain dhuaan dhuaan
"noon"
Na pooch in kharqa poshooN ki adarat ho to daikh in ko
Yad-e-bayda liyay baithay haiN apni asteenooN maiN
" Noon "
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
na tum bewafa the. na hum bewafa the
magar kya karein apni rahein juda hain..
Na pooch apni anaa ki baghawataiN mohsin
Dr-e-qabool say bach ker duaa guzarti hai
" Yay "
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Yeh dard-e-dil bhi kia hai, ik gham k la-dawa haii
mausam-e-bahaar bhi insaan sa be-wafaa haii..
yeh duuriyan yeh furqat mairi chahton ka sila hai
ab tum bhi laut aao harr chiraag bujhh chalaa hai
Yeh
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Ye Ajeeb Khel Hai Ishq Ka, Maqinay Aap Dekha Ye Moj'za
Wo Jo Lafz Meray Gumaan Main Thay, Wo Teri Zubaan Pe Aa Gaye
'Ye'
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Yaad aaon gi tujhay achay dinoo ki soorat
Main mukammal teri tanhaai na honay doon gi
"YE"
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Yay Shaam Youn Hee Guzar Ja'eygee Dabay Pa'on...
Wafaa Ka Geet Tou Gaa'oBuhat Udaas Hoon Main
Kissi Bhi Jhoottay Dilaasay Say Dil Ko Behlao !!
koi Kahaani Sunao Buhat Udaas Hoon Main
NooN
Nabi na thay mager insaaN pay jaan chiraktay thay
Suna hai aglay zamanay kay log achay thay
Unhoon nay mujh say kaha tha kisi say loo na lagana
Ujar k sooch raha hooN, wo log sachay thay
" Yay "
Yay kaun Doob Gayaa Aur Ubhar Gayaa Mujh Main
Yay Kaun Saa'ey Ki Surat Guzar Gayaa Mujh Main
Yay Kis K Sog main Shoreed a Haal Phirtaa Hoo'n
Woh Kaun Shakhs Thaa Aisaa Keh Mar Gayaa Mujh Main
NooN
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
na kar kisii pe bharosaa ke kashtiyaa.N Duubii.n
Khudaa ke hote huye naaKhudaa ke hote huye
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
gud contributionx evry 1
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
Ye Judaion Ke Rastay Bari Duur Tak Gaye Hain
Jo Gaya Wo Phir Na Aaya Meri Baat Maan Jao
'Wow'
Re: Bait Bazi Month of December, 2008
"noon"
*