Bait Bazi Month of April, 2008

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Anaa hai tum meiN bhi thori bohot batana ussay
woh ab kahay bhi tu haal-e-dil mat sunana ussay
akelay kis se utha hai talukaat ka bojh
woh tum ko yaad na rakhay tu bhool jana ussay"

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yaad k be-nishaan jazeeron se
tairi awaaz aa rahi haii abhii...

yeh

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

یہ نوید اوروں کو جا سُنا ، ھم اسیرِ دامن ھیں اے صباء
ھمیں کیا چمن ھے جو رنگ پر،ھمیں کیا جو فصلِ بہار ھے

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

yeh chaman zar, yeh jamna ka kinara, yeh mehel
yeh munaqqash dar-o-deewar, yeh mehraab, yeh taaq


ik shehenshah nay dolat ka sahara lay kar **
**ham ghareebo'n ki mohabbat ka uraya hay mazaq !

"qaaf"

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

qatry ki shikayat darya say tuheen thi aala zarfi ki.........

phir khuda k aagy ae naadim ham shikwe insan kya karty

ye

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

yeh imaraat-o-maqabir, yeh faseelai'n, yeh hisar
mat'laq-ul-hakm shehenshaho'n ki azmat kay satoo'n


daman-e-deher pay jis rang ki gul'kaari hai'n
uss mai'n shamil hay tairay or mairay aj'daad ka khoo'n

"noon"

Re: Bait Bazi Month of April, 2008


naik logoN maiN mujhe naik gina jata hai
Or gunahgaar,gunahgaar samajhte haiN mujhe

"ye"

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Ye Jo Raat Din Ka Hai Khel Sa, Isay Dekh Iss Pe Yaqeen Na Rakh
Nahi Akss Koi Bhi Mustaqil Sir-e-Ayena Usay Bhool Ja

'Alif'

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Abhi to mill k chalte hain, samandar ki musafat mein
Phir us k baad dekhain ge, kinaraa kaun karrta haiii

Yeh

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yeh Daur e Musarrat yeh Tayvar Tumharay
Ubharnay Say Pahlay Na Doobain Sitaray
Bhanvar Say Larro ' tund Lehroo'n Say Uljho
Kahaan tak Chalogey Kinaaray Kinaaray

yay

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Ye Khala Hai Arsh-e-Bareen Nahi, Kahan Paon Rakho'n Zameen Nahin
Teray Der Pe Sajday ka Shoq Hai, Ja Yahan Nahi To Kaheen Nahin

'Noon'

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Na sawal-e-wasl na arz-e-ghum na hikayatain na shikayatain
tairay ehad mein dil-e-zaar kay sabhi ikhtayaar chalay gaye..

Yeh

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Nazar Main Dhal Kay Ubhartay Hain DIL k Afsaanay
yeh Aur Baat Hay Dunya Nazar Na Pehchanay

yay

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

shumaisa beech mein q aai non say sher likh rai thee na mein :naraz:
PK badlo sher ab

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

lol.. Ab tou aa gayii :stuck_out_tongue:

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Motee kahan chalii gayi ho, ab do shairr… :smilestar:

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

following PK'z word

Yaad us ki itni khoob nahin Meer baaz aa
Nadaan phir woh jee say bhulaaya na jaayay ga

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Ek aansoo bhi nahin aankh sey tapka shab bhar
dil pey chhaaii hui yaadon kii ghataa kaisee hai..

Yeh

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yeh soch kar palkon mein chhupa leta hoon aansoo
Gir kar yeh meri aankh se hojaain na beghar

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Rotii rahi tou phool b shabnam ko mill gaye
hanste huve sitaaro! kaho tum ko kia mila

Alif