Bait Bazi Month of April, 2008

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yeh Aur Baat Hai Tairee Gali Main Na Aaien Hum
Laikin Yey Kiya Keh Shaher Taira Choor Jaain Hum

"Meem"

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

mein chahta bhi yeahi tha woh bay wafa niklay
ussay samajhnay ka koi tu silsala niklay

"yeh"

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

yaad e maazi azaab hy ya rab
cheen le mujh se haafza mera

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Aisa ghour bhi acha nahiN hai aisi batooN per
** Kisi ka naam likh likh ker mitana us ki aadat hai**
** Mohobbat maiN wo sanjeeda hai kitna, daikhtay rehna**
** Mohobbat her kisi say youn jitana us ki aadat hai**

** " Yay "**

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yehi Likha Tha Mere Haath Ki Lakeeron Mein
Main Agar Pyar Karoonga tau Bikhar Jaaunga

Next: Alif

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Aey Khuda hashr mein na dijeyo hamain
phiirr sazaa koyii zindagiii jaisiii....

Yeh

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

yeh bala ki inayatain yeh ghazab ki mehrbani
meri kheryat bhi pochi kisi aur ki zabaaani

"ye"

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yehi bohat hai k tum dekhte ho sahil sey
safeena doob raha hai to koi baat nahin

Noon

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Na Haara Hay Ishq Na Dunya Thaki Hay
Diya Jal Raha Hay Hawaa Chal Rahee Hay
Aray O Jafaa'on Pay Chup Rahnay Waloo'n
Khaamoshii Jafaa'on Ki Taa'eed Bhi Hay

Yay

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

*ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai

tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana

*

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Aata hey yaad mujhko guzra huwa zamana
wuh baagh ki bahaareiN wuh sab ka chehchana
lagti ho choT dil par aata hey yaad jis dam
shabnam k aansoouN par kaliyoN ka muskurana

Alif''

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Iss sheher mein kitne chehre thay kuch yaad nahin sab bhool gaye
ik shakhs kitabon jaisaa thaa woh shakhs zubaani yaad huvaa...

Alif

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Ab Bhi Na Ho Qabool To Kismatki Baat Hai
Ameen! Keh Rahein Hain Wo Meri Dua K Saath

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

ummeed pursish-e-gham kissy kijye naasir

ju apny dil py guzarti hy koi kiya jaany......

ye?

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

yeh alm kashoon ka milna yeh nishaat gham k saey
kabhi ro paray tabassum kabhi zakhm muskuraey

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yun phir raha hai kaanch ka paiker liye huwe
ghafil ko gumaan hai k pather nahin aaye ga

Alif

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Alfaaz ki soorat meiN sakooN maang lo mujh sey
ehsaas kaa sooraj tou yahaaN doob chalaa hey

Ye''

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

ye sajaa sajayaa ghar saaqi meri zaat nahin mera haal nahin
ai kash kabhi tum jaan sako jo us sukh ne aazaar diyaa

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

aaghaz-e-ishq hai rota hai kaya
agay agay daikiye hota hai kaya

'alif'

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Aae Dopahar Kid Hoop Bata Kia Jawab Do?
Deewar Poochti Hai K Saya Kidhar Gaya?