Bait Bazi Month of April, 2008

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Aur Hongay Jo Aina Sift Jeete Hain
Mein Tu Mar Jao Agar Koi Muqabil Na Ho

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Wo chala gaya jahaaN choor kay maiN wahaN say phir na palat saka
Wo sanbhal gaya tha Faraz mager maiN bikher kay phir na simat saka

** " Alif "**

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Aaj kya baat hey kay phooL ka rang teri hansi sey miltaa hey
bhuuL jaata huuN ghum uss kay wuh kuch is saadagi say milta hey

Ye''
<!-- / message -->

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

yahi halaat ibtida say rahay
log hamsey Khafa Khafa say rahay
bayvafa tum kabhi na thay laykin
yay bhi sach hay kay bevafa say rahay

Yay

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

ye tumhari taLkh NawaiyaaN koi aur sah kay dikhaa tou dey
ye jo mujh maiN tum maiN nibaah hey meray hosley ka kamal hey

Ye''

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yeh Kiya Muqaam hay Woh Nazaray Kahan Gaey
Woh Phool Kiya Hovay Woh Sitaray Kahan Gaey
Utth Utth Kay Baitth Chuki Hay Gurd Raah Ki
Yaroon Qaaflay Thakay Haaray Kahaan Gaey

Yay

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Ye jo zindai ki kitaab hai ye kitab bhi kia kitab hai
kahin ik haseen khwab hy kahin jaan leva azab hy

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

ye sher ye ghzlen,ye kitaaben ye risaaly...


ik sakhs ki yaadon ko bhulaany k liye hen..

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Na dard-e- hijr rahay or na Gham-e-wasal**
Aao kuch waqt guzarain bus ik muskaan k saath!**

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

haan yaad mujhy tum karlena,aawaz mujhy tum dy lena

is raahy muhabbat men koi darpesh ju mushkil aajay....

ye

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Ye Maza Tha Dillagi Ka Ke Baraabar Aag Lagti
Na Tumhein Qaraar Hota Na Hamein Qaraar Hota

Alif

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Aik muhabbat kafi hai
Baqi umar izaafi hai

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Ya **ILAAHI **Kuch Khushi Ki Ho Khabar
Naama Bar Aata Hai Bhaaga Bhaag Aaj

Jeem

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

JhoonpryooN main her talkhi paida hotay hi mil jati hai
Isi liyay to waqt say pehlay tifl siyanay ho jatay haiN
Dunia k is shor nay amjad kia kia hum say cheen liya hai
Khud say baat kiyay bhi ab to zamanay ho jatay haiN

" Noon "

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Na Taab Hijr Mein Hai Na Aaraam Vasl Mein
KambaKht Dil Ko Chain Nahii'n Hai Kisi Tarah
Hayy

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

ham par tumhaarii chaah kaa ilzaam hii tou hey
dushnaam tou nahiN hey ye ikaraam hii tou hey
bheegii hey raat 'Faiz' Gazal ibtidaa karo
waqt-e-sarod dard kaa hangaam hii to hey

Ye''

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

yuuN ja raha hoN jesay na aa'ooN gha phiR kabhi
mu'R mu'R k dekhti hai meRi rah-guzar mujhay

"ye"

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

*** Ye jo ek shab ka hijaaB hai isay darmiyan say hata kabhi
Kay taloh-e-subha ki arzoo meri kitni neenden urra gaye***

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Ya Rub Shab-e-Hijraan Main Itna Tu Kiya Hoota
Ju Haath Jigar Purr Hai Woh Dast-e-Dua Hoota

Alif

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

aaj buhut din baad suni hy baarish ki aawaaz...

aajbuhut din baad kisi manzar ny rasta roka hy,

rim jhim ka malboos pehen kar yaad kisi ki aai hy

aaj buhut din baad achanak aankh yuonhibhar aai hy!

ye