Bait Bazi Month of April, 2008

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

yaad-e-mazi azab hy yaarab....

chheen ly mujh sy hafezamera.

alif

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Ajnabi raahoN par chaltey chaltey kuch yaad aayaa
Kitne apney they, jo baad meiN Anjaaney nikley
Jin ko raakh kiyaa, aur phir nazr-e-aab Anwaar
Seh'r huwi tou wuhi auraaQ sarhaaney nikley

Ye''

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

yonhi tanhaai men ham dil ko saza dety hen

naam likhty hen tera,likh k mita dety hen...

noon

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Nahin furrsat yaqeen maano hamain kuch aur karrne ki
tairi yaadain tairi baatain bohatt masroof rakhhti hainn

Noon

Re: Bait Bazi Month of April, 2008


Achcha :~)

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Na Jao Haal-e-dil-e-Zaar Daiktay Jao
keh Ji Na Chahay Tou Naachaar Daikhtay Jao
Tumharee Aankh Mayray Dil Say Bay-sabab Bay-wajah
Hovee Hay Larrnay Ko Tay'yaar Daikhtay Jao

wao

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

wo mujhy zindagi samajhta hay

kiya ossay mera eatebaar nahi?

noon

Re: Bait Bazi Month of April, 2008


naa'ma gay'aa koi na koi naa'ma bar gay'aa
teri khabar naa aa'ee zamana guzar gay'aa

"ye"

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Aandhiyon ko burra kehne se kuch nahin hoga
apnay hisse kaa diya khudhii jalaana hogaa...

Alif

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Aa'eena Daikh Kar Khayaal Aayaa
Aaj Kal UN ki Dostee Kam Hay
Jaanay Kiya Ho Gaya Hay Mausam Ko
Dhoop Ziyadah Hay Chandnee Kam Hay

Yay

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yeh jabrr marg-e-musalsall hii zindagi hai Munir`
jahaan mein iss pe kabhi ikhtiyar kis kaa thaa

Alif

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Aa Kay Pat'tthar Jo Mayray Sahan Main Do Chaar Giray
Jitnay Us Pairr Kay Phal Thay Pas-e-Deevar Giray
Mujhay Girana Hay Tou Main Apnay Hee Qamoo'n Main Giroon
Jis Tarah Saayaa-e-Deevaar Pay Deevaar Giray

Yay

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yunhi shab-e-firaq mein bass aankh lag gayii
warrna hum aisi raat mein soye kabhi na thay

Yeh

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

ye dard kii tanhaa’iiyaaN, ye dasht kaa viiraaN safar
ham log to uktaa gaye apnii sunaa, aavargii
ek ajnabii jhoNke ne jab puuchhaa mere Gham kaa sabab
sehraa kii bhiiigii ret par maiN ne likhaa aavargii

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

You'n Lagay Dost Tayra Mujh say Khafa Ho Jaanaa
Jis Tarah Phool Say Khushboo Ka Judaa Ho Jaanaa
You'n Agar Ho Tou Jahan Main Koi Kafir Na Rahay
Mo'ajzaa Tayray Vaaday Ka Vafaa Ho Jaanaa

Alif

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Aik maheene baad mila tou naam b maira bhool gayaa..
jiss ne chaltay waqtt kaha tha k yaad bohat tum aao gi

Yeh

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Aabla'paa Koi Is Dasht Main Aayaa Hoga
Varnaa Aandhi Main Diya KIs Nay Jalayaa Hoga
Mil Gaya Hoga Agar Koi Sunehra Pat'thar
Apnaa Tootta Howaa Dil Yaad Tou Aayaa Hoga

alif

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Uljhanein dil ki negahon se bhi hall hotii hain
tu karay mujh se koyii baat zaroori tou nahin

Noon

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

na mery dil ki dharkan lar kharaay meri baaton say

na tum meri taraf dekhu ghalat andaaz nazron say..

ye

Re: Bait Bazi Month of April, 2008

Yeh Chaandni Bhi Jin Ko Chootay Hovay Dartee Hay
Dunyaa Unhee Phooloo'n Ko Pairoon say Masaltee HaY
Lobaan Main Chingaari Jaysay Koi Rakh Day
Youn Yaad Tayree Shab Bhar Seenay Main Sulagtee hay

yay