na tha kuch to Khuda tha, kuch na hota to Khuda hota
Duboya mujh ko honey ney, na hota maiN to kya hota
Next: Alif*
na tha kuch to Khuda tha, kuch na hota to Khuda hota
Duboya mujh ko honey ney, na hota maiN to kya hota
Next: Alif*
aey himalaa, aey faseel-e-kishwar-e-Hindustaan
Choomta hay jhuk kar terii peshaani ko aasmaan
tujh main kuch peda nahin dereena rozi kay nishaan
tu jawaan hay gardish-e-shaam-O-seher kay darmiyaan
NEXT:NooN
nisaar maiN terii galiyoN ke aey watan ke jahaaN
chalii hai rasm ki koi na sar uTha key chaley
jo koi chahne wala tawaaf ko nikaley
nazar chura ke chale jism-o-jaaN bacha ke chaley
Next: ye*
Yeh chaar din kee rifaqat bhii kamm nahin aey dost:)
Tamaam umer bhala kaun saath detaa hay:(
NEXT: YEy
yuuN hi hamesha ulajhati rahi hay ZuLm se KhalQ
na unki Rasm nai hay, na apni reet nai
yuuN hi hamesha khilae haiN hum ney aag meiN phooL
na unki haar nai hay na apni jeet nai
Next: Ye*
Yeh Khuaab hay, khushbu hay, jhonka hay kay pall hay?
yeh dhund hay, baadal hay, saayaa hay kay tumm ho?
NEXT: WoW
"alif"
Azaad fikr se huuN, uzlat meiN din guzaaruuN
dunya ke gham ka diL se kaanTa nikal geya ho
Next: wao*
"ye"
yeh dukh nahiN keh andheroN say sulah ki humnay
malaal yeh ke ab subh kii talab bhii nahiN
Next: Noon*
"ye"
yeh kia muQam-e-shauQ hai, na Aas hai na yaas hai
yeh kia huwa keh Lab pe tera naam aa ke rah gaya
Next: Alif*
"ye"
ye shab-e-firaQ ye bebasi haiN qadam qadam pe udasiyaN
mera saath koi na de saka meri hasrataiN haiN dhuaaN dhuaaN
Next: Noon*
"alif"
aina kyuN na duuN keh tamasha kahaiN jisey
aesa kahaaN se lauN keh tujh sa kahain jisey
Next: ye*
^
yeh kia keh sub se bayaan dil ki haalatein karni
FAraz tujh hi ko na ayee mohabbatein karni
ye*
"ye"
Ye andheraa ye talaatum ye havaaoN kaa kharosh
is meiN taaroN ki subuk narm ziyaa kyaa karti
talkhi-e-zeest sey karrwa huwa aashiq kaa mizaaj
nigaah-e-yaar ki maasoom adaa kya karti
Next: ye*