ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota
ya mera taaj gadaya na banaya hota
Next: Alif*
ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota
ya mera taaj gadaya na banaya hota
Next: Alif*
:)
"ye"
yahi kahna tha shero ke aj Zafar meri aah-e-rasa meiN hua na asar
tere hijr meiN maut na aai magar mera chain gaya meri niind gai
Next ye*
"noon"
na kisi ki aankh ka nuuR huuN, na kisi ke diL ka Qarar huuN
jo kisi ke kaam na aa sake maiN wuh ek musht-e-Ghubar huuN
Next Noon*
"noon"
Nice she'r Amal ji:~)
na wuh ankh hi teri aankh thi na wuh khawab hi tera khawab tha
diLay muntaziR to yeh kis liye tera jagna ussay bhool jaa
Next Alif*
thanx:)
"ye"
Ye ajeeb qurbatain haiN, ye ajeeb faaslay haiN
Meri Rooh meiN uttarna, meray saamnay na aana
Next Alif*
**
"ye"
yaro kisi QaatiL sey kabhi pyar na maango
apane hi gale ke liye talwaar na maango
khuL jae ga is tarah nigaahoN ka bharam bhi
kaaNToN se kabhi phooL ki mahkaar na maango
Next: wao*
"noon"
na kahin jahaaN meiN AmaN milii jo AmaN milii to kahaaN milii
mere jurm-e-Khana-Kharaab ko tere azo-e-banda nawaaz meiN
Next Noon*
ah-haaN...no repetition please :)
"daal"
Pardon !!
daayam paraa hua tere dar par nahin huuN maiN
Khaak aesii zindagi pe ke pathar nahin huuN maiN
Next Noon*
"alif"
aao ki koi Khwaab bunaiN kal ke waaste
warna ye Raat aaj ke sangiin daur ki
Das legii jaan-o-diL ko kuch aese keh jaan-o-diL
taa-Umr phir na koi haseeN Khwaab bun sakain
Next:- Noon*
"ye"
ye Khwaab hi tou apni jawani key paas they
ye Khwaab hi tou apney Amal ki Asaas they
ye Khwaab mar gae haiN tou be-Rang hay hayaaT
yuuN hay keh jaise dast-e-tah-e-sanG hay hayaaT
Next: Te*
Teri talaash main jubb humm kabhii nikaltay hain
Ik ~Ajnabi~ kee tarah Raastay badaltay hain
NEXT: NooN