Bait Bazi - June

Re: Bait Bazi - June

Amazing :lajawab:

Re: Bait Bazi - June

*Ye jo paani meiN chala aaya sunehri sa ghuroor
us ney darya meiN kaheiN paoN utaara ho ga...
*

Gaaf aur Alif

Re: Bait Bazi - June

v nyce .. :)

Iss Tarha See Jiyo gay To Jee Naa Paoo Gay
Itna Aasaan Nahin Bewafa Ka Wafa Hoo Jaana

Re: Bait Bazi - June

Ae rahbar-e-kamil chalane ko, tayar to hoon par yaad rahe
Us vaqt mujhe bhaTka dena, jab saamne manzil aa jaaye

Jeem/Ye

Re: Bait Bazi - June

JAB SE OS NE SHAHER KO CHORA HAR RSTAA SUNSAAN HUA

APNA KIA HI SAREY SHAHAR KA EEK JESA NUQSAAN HUA:wub:

Re: Bait Bazi - June

akhri harf

choti HEY/ ALIF

Re: Bait Bazi - June

*Idhar aa sitamgar, hunar aazmaayeN
tu teer aazma, hum jigar aazmaayeN

*

Alif aur Noon

Re: Bait Bazi - June

hoey hoey maar dala ZALIMDIL THAAM Khehe: :hehe:

Re: Bait Bazi - June

:@: … filmeiN deikhna thorra kam kar do jiia :smiley:

Re: Bait Bazi - June

Aey Raat Tum To AGosh-e-Muhabat Mein So Jaya Karo
Humari To Aadat Hai Sitaron Ki Rakhwali Karnaa

Re: Bait Bazi - June

apne halat ko tou ehasa nhi hai mjhe
mai nay auron say suna hai k presihan hoom main .... :(

Re: Bait Bazi - June

**maikhaane kay hangaamen hain kuchh der ke mehamaan

hai subah qariib "Akhtar" divaanaa piye jaa

jeem/alif
**

Re: Bait Bazi - June

mohabbat haar k jinaa bohat dushwaar hotaa hai
ussay bas itna kah daina bharam toRa nahi kartay

'kaaf' ye'

Re: Bait Bazi - June

**Jaata hey to laot kar aata hi nahi hey
waqt ki ye aadat mujhey achi nahi lagti!

'laam' ye'
**

Re: Bait Bazi - June

**lab-e Khaamosh se afshaa hogaa
raaz har rang mein rusvaa hogaa

dil ke saharaa mein chalii sard havaa
abr gulzaar pe barasaa hogaa**

hey/alif

Re: Bait Bazi - June

*Hum haqeeqat hain to tasleem na karnay ka sabab!
haaN agar harf-e-ghalat heiN to mitaa do hum ko
*

Kaaf aur Wao

Re: Bait Bazi - June

Kal raat chand hu-bahu tum jaisa tha
wohi husan, wohi gharur aur wohi doori

Daal / Ye

Re: Bait Bazi - June

*Deikh hamari deed ke kaaran wo kya qaabil-e-deed hua
aek sitara baitthey baitthey taabish meiN khursheed hua *

Kaaf aur Wao

Re: Bait Bazi - June

**hawa k rukh pe jalta hai charaGh-e-arzoo ab tak ,
dil-e-barbaad maiN ab bhi kisi ki yaad baqi hai..

'he' ye'
**

Re: Bait Bazi - June

yeah kon aansoon ki saza day giya mjhe
jeenay ki jate jate dua day giya mjhe .....