Bait Bazi - June

Re: Bait Bazi - June

guzray dinoN ki yaad barasatii ghaTaa lagey
guzarooN jo us gali se to Thandi hawa lagey
vo qahat dostii kaa paRaa hai k in dinoN
jo muskura ke baat karey aashnaa lagey

'laam' ye'

Re: Bait Bazi - June

ye sard shamain bhi kis qadr zalim hain wasi

bazahir sard hoti hain par in main dil sulgta hai… :teary2:

Re: Bait Bazi - June

hangaamaa hai kyuun barpaa thorii sii jo pii lii hai

Daakaa to nahin Daalaa chorii to nahin kii hai

**
hey/ye**

Re: Bait Bazi - June

Yeh acha hai k apas k bharm toot'ney na pai'n
Kabi b doston ko azma' ker kuch nahi milta

Re: Bait Bazi - June

**eik sey musafir hain eik saa muqadar hai
main zameen par tanha or wo asmano me

**

Re: Bait Bazi - June

Aap kee baan baan say tung aa ker aasman per baag gaya hoga.

Re: Bait Bazi - June

me ne to sis ki copy se dekh ke likha hai :stuck_out_tongue: :crying:

Re: Bait Bazi - June

Na gor-e sikandar, na hay qabr-e dara
Mitay namio k nisha kaisay kaisay

Re: Bait Bazi - June

يہ دور نکتہ چيں ہے ، کہيں چھپ کے بيٹھ رہ
جس دل ميں تو مکيں ہے، وہيں چھپ کے بيٹھ رہ

Re: Bait Bazi - June

hamin ko fursat-e-nazzaaragii nahin varanaa
ishaare aaj bhii karatii hain khirakiyaan hamase

hey/ye

Re: Bait Bazi - June

**yeh lehja yeh adawat yeh tarz e muhabat tumhara..
samajh paon to bikhar jaoun, na samjhon tu ulajh jaoun..

:crying:
**

Re: Bait Bazi - June

**jab nigaahon ke liye koii nazaaraa na rahe
chaand chhip jaaye gagan par koii sahaaraa na rahe
log ho jaayen paraaye to mujhe Khat likhanaa

laam/alif
**

Re: Bait Bazi - June

*abhi manzar sarey dilkash heiN aNkhoN meiN inko rehney do
jab khoon ke aansu dil hum ko rulwaaey ga tab deikheiN ge
*

Re: Bait Bazi - June

Lagta hai aaj sis kee book chori ker lee hai. :hehe:

Re: Bait Bazi - June

Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa intezaar kiyaa

kaaf/alif

Re: Bait Bazi - June

Ikhlaas ki jaagir ko hum ahl_e_mohabbat
taqseem tu kar daytay hein becha nahi kartay

Re: Bait Bazi - June

usne me ko tang kia tha to ab me usko tang karon gi :stuck_out_tongue: :crying:

**Ab jis ke jee maiN aaye wohi paaye roshni…
ham ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakih diya..
**

Re: Bait Bazi - June

Ek Baar Jo Usko Dekhon To Ho Jaon Shifayaab
Muhabbat Bhi Kya Cheez Hai Marne Nahi Deti..

Re: Bait Bazi - June

*dil ki khalish to sath rahegi tamam umr
dariya-e-gham k par utar jayen ham to kya
*

Re: Bait Bazi - June

ishq main dunya gunwai na jaan di faraz
phir bhi hum ahl-e-mohabbat ki misaloan main rahay