ishq karnay kay bhi kuch aa-daab hotay hain
khuli ankhoun main bhi kuch khuwab hotay hain
har koi roo kay de-khaie yeh zarore to nahi
khushk ankhoun main bhi selaab hotay hain…
** ‘he’ noon’**
ishq karnay kay bhi kuch aa-daab hotay hain
khuli ankhoun main bhi kuch khuwab hotay hain
har koi roo kay de-khaie yeh zarore to nahi
khushk ankhoun main bhi selaab hotay hain…
** ‘he’ noon’**
Re: Bait Bazi - June
tay/hey
Re: Bait Bazi - June
**Tung aa chuke hain kash-ma-kash-e-zindagii se hum
Thukaraa naa dein jahaan ko kahin bedilii se hum
hey/mem
**
Re: Bait Bazi - June
hay or yay
Re: Bait Bazi - June
Ye soch lo ab aakhri saya hey mohabbat
is dar se utthoge to koi dar na miley ga
Gaaf aur Alif
Re: Bait Bazi - June
hey/yeh
Re: Bait Bazi - June
Yey Na Thee Humari Qismat Kay Visal-e-Yaar Houta
Gar Orr Jeetay Rehtay Tu Yehi Intizaar Houta
Houta/Alif
Re: Bait Bazi - June
ask beh kar bhi kam nahien hotay
Ankhien kitni ameer hoti hain
hay or noon
Re: Bait Bazi - June
**har koii pyaar Dhuundhataa hai yahaan
apanii tanhaa sii zindagii ke liye
laam/ye
**
Re: Bait Bazi - June
hy or alif
Re: Bait Bazi - June
*Haadsaat aek taraf, maot bhi sharma jaye
zindagi apni haqeeqat se khabardaar to ho *
Hey aur Wao
Re: Bait Bazi - June
*Wo Jo Milta hay to Hur Dard Bhula Deta hay,
Jany kia Bat hai Dil Usko Dua Deta hay,
Wo Muje Pyar Se Roty mey Hansany Wala,
Yaad Ata Hay To Hansty Me Rula Deta hay.
yay or hay
*
Re: Bait Bazi - June
**ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake
ki gunche khil to sake khil ke muskuraa na sake
seen/ye
**
Re: Bait Bazi - June
Suntey heiN ke mil jati hey har cheez duwa sey
ik roz tumhey maang ke deikheiN ge Khuda sey
Seen aur Ye
Re: Bait Bazi - June
*yeh asmaan wala hi akhir kabhi baatayega
key wafa shuaron ka hasil kyun hey tanhayi *
tey/ye
Re: Bait Bazi - June
Ye aur baat ke mimber pe kuch nahin bolte
Khamosh log bala ke khateeb hote hain
hay /noon
Re: Bait Bazi - June
**Na Fana Meri Na Baqa Meri Mujhy Ay Shakeel, Na Dhoondiye
Main Kissi Ka Husn E Khayal Hon Mera Kuch Wajood E Adam Nahin
noon
**
Re: Bait Bazi - June
Na mila Kar Udaas Logon se
Husn Tera bikhar na jae kahin
Kaaf / Noon
Re: Bait Bazi - June
Na tujh ko maat hui hay, na mujh ko maat hui,
so ab ke donoN hi chaleiN badal ke dekhtey heiN
**
**Hey aur Noon
Re: Bait Bazi - June
Na milae ga koi haath bhi jo gale milo ge tapaak se
Ye nae mizaaj ka shehar hai zara faasle se milaa karo.
Kaaf / Wao