Bait Bazi -June 2014

Re: Bait Bazi -June 2014

Itnay anmool thay ke khareedna saka koi ham ko
Hairaan hon tere hathoon bik, tu bika kaisay ....

kaf/yah

Re: Bait Bazi -June 2014

*kyaa bayaan karake meraa royege yaar *
*magar aashuftaa-bayaanii merii *

*huun ziKhud raftaa-e-baidaa-e-Khayaal *
**bhuul jaanaa hai nishaanii merii

meem/ye**

Re: Bait Bazi -June 2014

Mairay dil main utar sako to shayad yah jaan lo
kitni khamosh muhabat tum say karta hay koi

kaaf/yay

Re: Bait Bazi -June 2014

kaisi kati hay ankhon hi ankhon mein sari raat
Teri tarah kisi se na wo karay koi

kaf/yeh

Re: Bait Bazi -June 2014

Kaash Aa Jaye Vo Mujhy Jaan Se Guzarty Dekhy
Us Ki Khawahish Thi Kabhi Mujh Ko Bikharty Dekhy

Daal/yeh

Re: Bait Bazi -June 2014

Yoon na jhanko ghareeb ke dil mein,
Yahan hasrtain be-libaas rehti hain..

hey/noon

Re: Bait Bazi -June 2014

nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
vahii hai haal hamaaraa jo ho gunaah ke baad

bay/daal

Re: Bait Bazi -June 2014

Behka to bohat behka, sambhlaa to wali thehra,
Is khaak ke putlay ka har rang niraala hai..

hey/ye

Re: Bait Bazi -June 2014

Yeh Judaion ka rastay bari door tak gaye hein
Jo gya woh phir na aya meri baat maan jao

jeem/vow

Re: Bait Bazi -June 2014

Jo muh ko aa rehi thi, ab lipti hai paoon se,
Barish ke baad khaak ki fitrat badal gayi..

gaaf/ye

Re: Bait Bazi -June 2014

Yaad kerte hon tumhain yaad aate he naheeN
kaisy aa'ay woh cheez joo jaati he naheeN

Noon

Re: Bait Bazi -June 2014

*naa muhabbat naa dostii ke liye *
**vaqt rukataa nahin kisii ke liye

laam/ye**

Re: Bait Bazi -June 2014

hey/ye


Restored attachments:

Re: Bait Bazi -June 2014

*ye inaayaten Gazab kii ye balaa kii meharabaanii *
**merii Khairiyat bhii puuchhii kisii aur kii zubaanii

zey/ye**

Re: Bait Bazi -June 2014

***Yeh jo nazron se dil ko nidhaal karte ho,
Kartey to zulm ho magar kamaal karte ho..

hey/wao***

Re: Bait Bazi -June 2014

hey/ye


Restored attachments:

Re: Bait Bazi -June 2014

Hoti nahi qabool dua tark-e-ishq ki
Dil chahta na ho to dua mein asar kahan

Kaaf/Noon

Re: Bait Bazi -June 2014

kuchh to kahiye k log kahte haiN
aaj Ghaalib Ghazal saraa na huaa

chhoTii he yaa alif se

Re: Bait Bazi -June 2014

 laam/ye

Restored attachments:

Re: Bait Bazi -June 2014

Youn to har ik shabstaan hai manawwar tujh sey
kabhi mera bhi koi khawaab sajaya hota

hay/yay