Re: Bait Bazi -June 2014
koi umeed bar nahi aati,
koi surat nazar nahi aati,
maut ka eik din mueen hai,
neend kyun raat bhar nahi aati (ghalib)
Alif/ye
Re: Bait Bazi -June 2014
koi umeed bar nahi aati,
koi surat nazar nahi aati,
maut ka eik din mueen hai,
neend kyun raat bhar nahi aati (ghalib)
Alif/ye
Re: Bait Bazi -June 2014
ab kaun baat rah gaii ye baat bhii gaii
**yaani kabhii kabhii kii mulaaqaat bhii gaii
gaaf/ye**
Re: Bait Bazi -June 2014
***GuloN pe likhtee huwee La Ilaha IlAllaah*
PahaaRiyoN se wo utree azaaN ki Khushbu**
Khay/Vow****
Re: Bait Bazi -June 2014
وہ دلنواز لمحے بھی گئی رُتوں میں آئے۔ جب...
میں خواب دیکھتی رہی، وہ مجھ کو دیکھتا رہا
Re / alif
Re: Bait Bazi -June 2014
:(
Isi ishq sey, isi chah sey, isi pyaar sey, isi maan sey
meray haath mey ik gulaab do mey bohat dino se udaas hooN
hey
Re: Bait Bazi -June 2014
hai tere kaan zulf-e-muimbar lagii huii
**rakkhegii ye na baal baraabar lagii huii
hey/ye**
Re: Bait Bazi -June 2014
Yahi Ijaz hay awargi ka
Jahan bhi gaiay dastaaN chor aay
alif/yay
Re: Bait Bazi -June 2014
اے سمندر کی ہوا تیرا کرم بھی معلوم...
پیاس ساحل کی تو بجھتی نہیں سیلاب سے بھی ―
احمد فراز
be/ye
Re: Bait Bazi -June 2014
yah dil yah pagal dil maira keon bujh gia awargi
iss dasht main ek shahr tha, woh kia howa awargi
alif/yay
Re: Bait Bazi -June 2014
Ashk ban kar meri chashm-e-tar mein rehta hay
Ajeeg shakhs hay, pani ke ghar mein rehta hay...
hay/yay
Re: Bait Bazi -June 2014
ye aur baat terii galii mein na aayen hum
**lekin ye kyaa ki shahar teraa chhor jaayen hum
hey/meem**
Re: Bait Bazi -June 2014
yaad kisii kii chaa. Ndanii ban kar koThe koThe utarii hai
yaad kisii kii dhuup hu_ii hai ziinaa ziinaa utarii hai
hay/yah
Re: Bait Bazi -June 2014
ye kon log andheron ki bat karty hyn
abhi to chaand teri yad k dhaly bhi nahin
Re: Bait Bazi -June 2014
![]()
Re: Bait Bazi -June 2014
aap shair likhna bhool gaye ![]()
Re: Bait Bazi -June 2014
ap lafz likhna bhool gaye hain hazrat, kia noon hay, ya yeh hay?
Re: Bait Bazi -June 2014
noon se....
Na tum aao, na neend aye, na maut aye , na din niklay
shab-e-waada kisi sorat se akhir chain aye bhi....
seen/tay
Re: Bait Bazi -June 2014
noon se.... Na tum aao, na neend aye, na maut aye , na din niklay shab-e-waada kisi sorat se akhir chain aye bhi....
seen/tay
how is seen/tay
it should be** bay/yeh**
Re: Bait Bazi -June 2014
Na thi aur koi bhi ranjishain,
sirf adaton mai tazad tha,
ke usay pasand thi shokhian,
mujhay sadgi mai kamal tha
tay/alif