Bait Bazi - June 2013

Re: Bait Bazi - June 2013

:hugz:

Yeh Alag Baat Ke Afshaan Na Huwa Tu Warna

Mainey Kitna Tujhey Mehsoos Kiya Terey Baad

Bey/daal

Re: Bait Bazi - June 2013

and plz ask your Friend Mod to change this dysfunctional ALIENATED CAT

Re: Bait Bazi - June 2013

Daikh hamaray mathay pe yeh dasht-e-talab ki dhool miyaan

Hum se ajab tera dard ka nata,daikh hmain mat bhool miyaan

Meem/noon

Re: Bait Bazi - June 2013

ok its not MUT its MAT bhul main ...

Re: Bait Bazi - June 2013

Changed :D
Now your turn...post with meem/noon

Re: Bait Bazi - June 2013

nope :chupki:

Re: Bait Bazi - June 2013

**Merey dil me hazaron ghum chupey hain ashk ankhon me,
Merey chehrey pay kiyon tum ko khushi mehsoos hoti hai

**heh/yeh

Re: Bait Bazi - June 2013

Haasil e aashiqui – bichhar jaana

Aisi rasmon se hum to barham hain

Re: Bait Bazi - June 2013

Naaz tha tum ko kisi kay pyar par,
Ab manao jashn apni haar par..

pay/ray

Re: Bait Bazi - June 2013

rang mein khushbu mein nahaayi hui raat
ORhh lii hai teri yaadoN se sajaayi hui raat

Re: Bait Bazi - June 2013

tum nahe gham nahe sharaab nahe
aise tanhai ka jawaab nahe

gahay gaahay isay parha kijieay
dil say barh kar koi kitaab nahe

Re: Bait Bazi - June 2013

Ye jo zindagi k kitab hai , ye kitab bhi kya kitab hai,
Kaheem aik haseen sa khwab hai , kaheen jaan leva azaab hai