Naya Mahina.. garmi… pani aur bijli ka siyapa.. to start kuch aise hi hona hai:
Kal tere tishna’gaan se ajab saaniha huwa
darya pe hont rakhe to darya tamam shud
sheen / daal
Naya Mahina.. garmi… pani aur bijli ka siyapa.. to start kuch aise hi hona hai:
Kal tere tishna’gaan se ajab saaniha huwa
darya pe hont rakhe to darya tamam shud
sheen / daal
Re: Bait Bazi - June 2013
Dekha tha main ne dasht ko jab chashm tarr key saath..
paani sa harr taraf tha kahin raasta na tha
Re: Bait Bazi - June 2013
Abb tou mujh ko pasand aajaao,
Mai ne khud mai buhut kamii ker li !
Re: Bait Bazi - June 2013
ye alag baat hai kay taa'ruf na ho saka warna
ham zindagi kay saath bohat door tak chalay
Re: Bait Bazi - June 2013
ye baat kisi ko nahi maloom k momin qaari nazar aata hai haqiqat main hai Quran
Re: Bait Bazi - June 2013
*نہ جانے کیوں میری آنکھیں برسنے لگتی ہیں
جو سچ کہوں تو کچھ ایسا اداس ہوں بھی نہیں *
Re: Bait Bazi - June 2013
Na janey kyun magar dekho tou mera dil chahta hai keh
Wafa ko aag lag jaey, Muhabbat nhaar mein jaey!!
Re: Bait Bazi - June 2013
yeh masaa'il-e-tasavvuf, yeh tiraa bayaan, "Ghalib!"
tujhe ham vali samajhte jo na baadah_Khowaar hotaa!
Re: Bait Bazi - June 2013
Agar choop chap tum dekhoo tu dam aram say niklay
Idahar hum hichkee latay hain udahar tum roonay lagta hoo
Re: Bait Bazi - June 2013
Wo Jo Khud Apnay Hee Lafzon Se Wafadaar Na Tha
Os Ko Ham Yaad Dilaatay Tou Bhalaa Kia Kehtay ?
Re: Bait Bazi - June 2013
**Yeh Ishq o Mohabbat Samajh se bala tar hain
Ilm hota to Aalim hotay, Fun hota to Maahir hotay ....!!!**
Re: Bait Bazi - June 2013
Yeh Alag Baat Ke Afshaan Na Huwa Tu Warna
Mainey Kitna Tujhey Mehsoos Kiya Terey Baad
Re: Bait Bazi - June 2013
dekh hamaray maathey per yeh dasht-e-talab ki dhool
*hum say ajab tera dard ka naata, dekh hamain mat bhool *
Re: Bait Bazi - June 2013
lakh honto pay taranum ki kiran raqsaan hoo...
dard phir dard hai, chehray say ayaan ho ga...
Re: Bait Bazi - June 2013
Iss se pehlay kay bevafa ho jaein
kyun na aey dost juda ho jaein
Re: Bait Bazi - June 2013
Na Yoon Har Ekk Ko Daikha Ker Ke Har Dil Khaas Ho Jaaye
Na Yoon Har Ekk Say Bhicarr Ke, Aziyat Aam Ho Jaaye
Re: Bait Bazi - June 2013
ye kia k bayaan sab se dil ki halatain karni
faraz tum ko na aeen muhabbatain karni
Re: Bait Bazi - June 2013
Kon seh sakta hai hayat-e-jawedan ki talkhiyan
Zindagi par mout ka kitna bara ehsan hai. .
Re: Bait Bazi - June 2013
Hum ne maana ke bohat dair hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,
kaaf/ ye
Re: Bait Bazi - June 2013
Yeh kis mor pe le aai mujy justuju teri...
Pani me aks mera ho or nazar tu aye...