Re: Bait Bazi - June 2013
Hota hai chahat ka asar har tabeeyat pe mukhtalif,
Besabri dekho hum hi ko hai, unko intezaar kahan,
kaaf/noon
Re: Bait Bazi - June 2013
Hota hai chahat ka asar har tabeeyat pe mukhtalif,
Besabri dekho hum hi ko hai, unko intezaar kahan,
kaaf/noon
Re: Bait Bazi - June 2013
Koi dum ka mehmaan hooN ae ahl E mahfil
Chirag E sehar hooN bujha chaahta hooN
Re: Bait Bazi - June 2013
Hum’ein aik dosrey key liye khol key roney bhi na dey ga
Yahan muhabbat mein zamaney ka dastoor aur hai
heh/yeh
Re: Bait Bazi - June 2013
Haasil e aashiqui – bichhar jaana
Aisi rasmon se hum to barham hain
Re: Bait Bazi - June 2013
Humain wo dekhte hain, unhain hum dekhte hain
raha wo bhi nahi kerte, raha hum bhi nahi kerte.
kaaf/yeh
Re: Bait Bazi - June 2013
Ye ek meN k teri arzoo hi sab kuch hai
Wo ek to ke mere sayee se gurizaN hai
Re: Bait Bazi - June 2013
**yeh waj-bate ishaq hum pe hi karz kyu ??
woh bhi ada kare ke mobhat usey bhi thi .... **
Re: Bait Bazi - June 2013
Tamam khalk E khuda Deakh kar yeh hairann hai
Ke sara shaher mere khab se pareshan hai
Re: Bait Bazi - June 2013
**yeh bhi kiya kam hai, k teri tamana mai jiye tanha
lutf e mazil nahi sehi, hasrat e mazil hi sehi ... **
Re: Bait Bazi - June 2013
Saadgi se hum ne samjha tha, hamara zikr hai,
Tazkrey kuch aur hi un ke beyaa’n mein aye they..
Re: Bait Bazi - June 2013
*yeh udaas udaas se bazm-o-dar yeh ujaad ujaad si rahguzar
chalo hum nahin na sahi magar sar-e koo-e yaar koi to ho *
Re: Bait Bazi - June 2013
*yeh udaas udaas se bazm-o-dar yeh ujaad ujaad si rahguzar chalo hum nahin na sahi magar sar-e koo-e yaar koi to ho *
woh bachpanay kii neend tau ab khwaab ho gaye
kiya umer thii woh kay raat hoi aur so gaye....
Re: Bait Bazi - June 2013
Go bazahir mery afsanay pe woh hansty rahy
Aankh mein aansu magar be-ikhtiyar hi aa gya
gaaf/alif
Re: Bait Bazi - June 2013
uss ko na Paa sakay thay jab, dil ka ajeeb haal tha...
ab jo palat k dekhiyay, baat tu kuch mahal thi...
Re: Bait Bazi - June 2013
yeh sab haath hain khoon se jin ke tar
wohi thay masiha.. wohi charahgar
Re: Bait Bazi - June 2013
Roz dhalta hoa suraj yeh kahta ha mujhe FARAZ
Aaj usko bewafa hoa aik aur din hoa?.
heh/alif
Re: Bait Bazi - June 2013
hairat se saaray lafz usay dekhtey rahay
batoon main apni baat ko kaisay badal gaya.
Re: Bait Bazi - June 2013
aik woo k janta sara zamana hai jisay...
aik may k is jahan may, ashnaa koi nahi...
Re: Bait Bazi - June 2013
Yeh bhook, aflaas, tangdasti, tumhara hi muqadar kyun,
Muqaddar ko badalney ki jasaarat kyun nahi karte..
kaaf/yeh
Re: Bait Bazi - June 2013
Kisi ke waaste raaheN kahaaN badalati haiN
Tum apane aap ko Khud hi badal sako to chalo