Bait Bazi - June 2013

Re: Bait Bazi - June 2013

Aaj mein ney bhi kahrida hai barey chao sey
Saal-e-nuo ka ye bohat sada sa card
**
**Teri janib sey phir is ko mein ney
Apney address pey hai arsal kiya

Re: Bait Bazi - June 2013

ab to aankhon main faqat dhool hey kuch yaadon ki
hum usay yaad bhi aaye hain to kab yaad aaye

Re: Bait Bazi - June 2013

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?
Mujhay tu khair taira intazaar karna hai..

Re: Bait Bazi - June 2013

Yeh meri kitaab-e-hayaat hai, issay dill ki ankh sey perhh zaraa
Mein warq warq teray samnay, teray ro-baroo, teray saath hoon.

Re: Bait Bazi - June 2013

Hum ke ruuthi huwi rutt ko bhi manaa letay thay...
Hum ne dekha hi na thaa mausam-e-hijraan janaan...

Re: Bait Bazi - June 2013

Jab yaar ne rakht-e-safar bandha
kab zabt ka yaara us din tha
Har dard ne dil ko sehlaya!
kya haal hamara us din tha :teary1:

Re: Bait Bazi - June 2013

aab waqat k nazuk honto par, majrooh taranum raqsaan hai…
bedad-e-mashiyat kiya kahiyay, kuch yaad rahi kuch bhool gaayee

Re: Bait Bazi - June 2013

Ghar kii ta’amiir chaahe jaisii ho
Us meN rone kii kuch jagah rakhnaa
MasjideN haiN namaaziyoN ke liye
Apne ghar meN kahiiN Khudaa rakhnaa

Re: Bait Bazi - June 2013

Aya hi tha mere lab pe wafaa ka naam,
Kuch doston ne hath mein pathar utha liyay..

Re: Bait Bazi - June 2013

Its ending in alif or ye ?

Re: Bait Bazi - June 2013

yeh

Re: Bait Bazi - June 2013

Thanks

YuN teri yaad se jii ghabraayaa
Tu mujhe bhool gaya ho jaise
Is tarah tujh se kiye haiN shikwe
Mujh ko apne se gilaa ho jaise

Re: Bait Bazi - June 2013

Jab tera hukam mila, tark-e-mohabat kar di
dil magar is pay woo dharka, k qayamat kar di

Re: Bait Bazi - June 2013

Dil meN laavaa ubal raha hai kya?
Koi kuhsaar* jal raha hai kya??
Khaab! fard E zamiN pe zahir ho
Meri aaNkhoN meN pal raha hai kya

Re: Bait Bazi - June 2013

Ye jo doobi hai meri ankhen ashko ky darya me Faraz…
Ye matti kay putloon par bharose ki saza hai…

Re: Bait Bazi - June 2013

Hosh O hawaas O taab O tavaaN “Daag” ja chuke
Ab hum bhi jaane waale haiN saamaan to gayaa

Re: Bait Bazi - June 2013

aa andaleeb karain mil k aahoo zariyaaan...
tu haye gul pukar, may chilaoon hayee dil...

Re: Bait Bazi - June 2013

Daikh hamaray mathay pe yeh dasht-e-talab ki dhool miyaan

Hum se ajab tera dard ka nata,daikh hmain mut bhool miyaan

Re: Bait Bazi - June 2013

Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay
Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe

Re: Bait Bazi - June 2013

Marne walo* aao ab gardan kataao shauQ se
Yeh Ghaneemat waqt hai, khanjar kaf E Qaatil meN hai