Bait Bazi - July 2014

Re: Bait Bazi - July 2014

nahiN jaayega saaNp bachkar kahiN ab
ke maidaan meN har jagah *******N heN

hay/noon

Re: Bait Bazi - July 2014

Hum hi main na thi koi baat yaad na tum ko aa sake
tum ne hamen bhula dia, hum na tumhe bhula sake

seen/ye

Re: Bait Bazi - July 2014

*yaad nahin kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye *
**us kii galiyon se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye

gaaf/ye**

Re: Bait Bazi - July 2014

yay aarzoo the faqat tere aarzo keraty
yay hosla he na tha aur justuju kertay
inhain jo dekha to aik chup se lag gae humko
phir aise haal ma kia in say guftugo kerty

kaaf/yay

Re: Bait Bazi - July 2014

Yoon tassali de rahe hain hum dil-e-beemar ko,
Jiss tarah thaamey koi girti hui deewaar ko..

kaaf/wao

Re: Bait Bazi - July 2014

*vahii zubaan vahii baaten magar hai kitanaa farq *
**tumhaare naam se pahale tumhaare naam ke baad

bey/daal **

Re: Bait Bazi - July 2014

Dil kissi ki yaad main bay kal huwa
Log pher kehny lagay paagal huwa

hay/alif