Yay
Restored attachments:
Re: Bait Bazi - July 2014
ye aur baat ke minbar pe kuch nahin kehte
khamosh log bala ke khateeb hote hain
he/noon
Re: Bait Bazi - July 2014
*hum ne dekhaa hii nahin bolate un ko ab tak *
**kaun kahataa hai ke patthar ke sanam jhuuThe hain
hey/noon**
Re: Bait Bazi - July 2014
Nah janay kitni mudat say hay dil main yah amal jari
zara si choot lagti hay aur meiN sara toot jata hoon
hay/noon
Re: Bait Bazi - July 2014
*hai junuun ahl-e-junuun ke liye aaGosh-e-vidaa *
**chaaq hotaa hai garebaan se judaa mere baad
bey/daal**
Re: Bait Bazi - July 2014
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Bass ek baar mera kahaa maan lijiye
laam/yay
Re: Bait Bazi - July 2014
***Yeh teri judaayi ki yaadgaar hai warna,
Aik zakhm bharney mein dair kitni lagti hai.
hey/ye***
Re: Bait Bazi - July 2014
ye ghazi ye tere pu israr bande
bakhsha he jinhen tu ne zok-e-khudai
do nem in ki thoker se sehra-o-darya
simat kat pahar in ki hebat se rai
ray/yay
Re: Bait Bazi - July 2014
*raat ke Khvaab sunaayen kis ko raat ke Khvaab suhaane thay *
**dhundhale dhundhale chehare thay par sab jaane pahachaane thay
tey/ye**
Re: Bait Bazi - July 2014
***Yeh jo chaltay nazar aatay hain musalsal hum log,
Kuch to paanay ki talab hai jo safar seekha hai..
hey/ye***
Re: Bait Bazi - July 2014
*hai to insaan Khaak kaa putalaa *
**lek paanii kaa bul-bulaa dekhaa
daal/alif
**
Re: Bait Bazi - July 2014
Isi se jaan geya mein ke waqt dhalney lage,
Main thakk ke chaaon mein betha to pairr chalne lage,
***Main de raha tha saharey to ik hajoom mein tha,
Jo gir parra to sabhi raasta badalney lage..
laam/ye***
Re: Bait Bazi - July 2014
Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi hai, nabi ka irfan bandagi hai
he/ye
Re: Bait Bazi - July 2014
***Hum zamaney se bhi takraa gaye teri khaatir,
Jo na karna tha kiya woh bhi gawaara hum ne,
noon/ye***
Re: Bait Bazi - July 2014
ye jo diwane se do char nazar ate hain
in mein kuch sahib-e-asrar nazar ate hain
teri mahfil ka bharam rakhte hain so jate hain
werna ye log to bedar nazar ate hain
he/noon
Re: Bait Bazi - July 2014
naamuraadii apanii qismat gumraahii apanaa nasiib
**kaaravaan kii Khair ho hum kaaravaan tak aa gaye
gaaf/ye**
Re: Bait Bazi - July 2014
***Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,
Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,
hey/noon***
Re: Bait Bazi - July 2014
***Na jane kin adaaon se lubhaa liya geya mujhe,
Qateel mere samney churaa liya geya mujhe,
meem/ye***
Re: Bait Bazi - July 2014
is duniya ke rishtey naatey kaghaz ke hain goya phool
in sey pyaar barhaney wala pagal hi kehlaata hai