Bait Bazi -- July 2007

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ye Kis Ne Hum Se Lahoo Ka Kharaaj Phir Manga?
Abhi Tu Soo'ey Thay Maqtal Ko Surkharoo Kar Ke

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007

yeh bhi hai tamanna k ussay dil say bhula dain
iss dil ko magar uss ki zarorat bhi buhat hai

"yey"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yeh Kaafee Hai K Hum Dushman Nahi Hain
Wafadaree Ka Dawa Kyu Kerein Hum

'Meem'

Re: Bait Bazi -- July 2007

Mudatoon baad usay paa kay us raat
Itna roya tha k sochoo'n to hasi aate hai

"ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007

yeh bhi adaab hamaray hain tumhain kia maloom
hum tumhain jeetk haray hain tumhain kia maloom

"meem"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Mujh ko zid hai mere benaaii rahay ya na rahay
Teray chehray ke neqaabain to ulat ker daykhoon

Noon

Re: Bait Bazi -- July 2007

na farishta ho na farishton jaisa ho
mujhay talash ahi usski jo meray jaisa ho

"wow"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Wo meray zabat ka andaza kernay aaya tha
Main hass kay zakham na khata to aur kya kerta

" alif "

Re: Bait Bazi -- July 2007

Aik DarYA Ko Raasta De Kar
Aik Sehra Ne KhudKushi Karli

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007

ay dil teray sukoon sya teri ronaqain bhi gayin
darya ka sara husn to tughyaniyon say tha

"alif"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Andhe aag main, ujli ankhain jal ker rakh na ho jaain
Neel-gagan ke oor na taknaa , bejli gernay wali hai

"ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007

ye ratain jo hum nay teray naam ki hain
bata in ki qeemat ada kar sakay ga?

"alif"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Aik DarYA Ko Raasta De Kar
Aik Sehra Ne KhudKushi Karli

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007

yeh dil buhat udaas hai jab sya khabar hui
miltay ho tum khuloos sayhar ajnabi k saath

"hay"

Re: Bait Bazi -- July 2007

har fard ibtada ke musafat main shal hoa
koi to ho jo ab khabar-e-inteha bhe day

yeh

Re: Bait Bazi -- July 2007

yeh ajeeb khayal hai pyar ka me nay aj dekha yeh mojzaaa
wo jo lafz meray gumaan me thay wo teri zaban pay agaya

"yey"

Re: Bait Bazi -- July 2007

isi khayal main guzre hai sham-e-dard aksar
kay dard had say barhay ga tomuskara doon ga

alif

Re: Bait Bazi -- July 2007

aj to ussnay dard bhi apnay alehda karliya
ajme roya to meray saath wo roya na tha

"alif"

Re: Bait Bazi -- July 2007

ay meray kuch na sochnay walay
apnay baray main kuch to socha ker

umar bhar mujh pay barf barsi hai
dasht ke dhoop mujh pay saya ker

ray

Re: Bait Bazi -- July 2007

raat jab jashn-e-charagaan memagan thi dunya
kaun roya pas-e-deewar tujhay ki maloom

"meem"