Bait Bazi -- July 2007

Re: Bait Bazi -- July 2007

**
MeiN zindagi ki rah'guzar pe dar'badar hooN is leeye
ke mohabbatoN ke shehar meiN dil be-makaaN hey aaj bhi
**"Ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Youn aakaylay main usay ehd-e-wafa yaad aa'ay
Jaisay banday ko museebat main khuda yaad aa'ay

ye

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yakeen nahe hai magar aaj bhi yeh lagta hai
Ke mere dil pe unhain ikhteyaar aaj bhi hai ...

"Ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ye aata kam to nahi hai kay wo dayta bhe to hai
Mujh ko mehroon bhe kerta hai to aksar day ker

ray

Re: Bait Bazi -- July 2007

Raas aaye na kabhi pyar ke halaat humein
Dil ki is bheer mein har baar huwi maat humein
Kya kahenge kahaan jaayenge kidhar jaayenge
De gaee jab bhi zara dard yeh mulaqaat humein ...

"Noon"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Negahaain botle hain bay-tahasha
Mohabbat pagloon ke guftago hai

ye

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yunhi kabhi meri naam aaya tumhare hontoo pe ek pal ko
Meri muhabbat ki yaad mehki kabhi tumhare bhi rastoon mein ...

"Noon"

Re: Bait Bazi -- July 2007

na dard -e- hijr rahe na gham -e- wisal
aoa kuch waqt guzaren bas ik muskan k sath!!

Re: Bait Bazi -- July 2007

na janay hum shanasi k kis aalam main rehtay hain
tumhari ajnabeeat say tumhain pehchan laytay hain

Re: Bait Bazi -- July 2007

Har zehan mein kuch naqsha-e-wafa chor gaya hai
Kehnay ko bharay shehar mein tanha thaa jo aik shaks ...

Re: Bait Bazi -- July 2007

suli pay bhe neend aa ay to sonay nahi dayta
kya shaks hai honi ko bhe honay nahi dayta

Re: Bait Bazi -- July 2007

**
Aata hi nahi dil meiN rihayee ka tasawur
bohat abjeeb jurm-e-mohabbat ki saza hey
**

Re: Bait Bazi -- July 2007

ye hijar kay sadmay to kabhi kam nahi hoon gaay
tum loot kay aao gaay to phir hum nahi hoon gaay

ye

Re: Bait Bazi – July 2007

yeh alag baat ke tameer nahi ho saktey warna her zehn mein kuchh Taj Mahal hotey hein

phir say ye :hoonh:

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yeah tou nahi kay gham nahi, haan meri aankh nam nahi ..
Tum bhee tou tum nahi ho aaj, ham bhe tou aaj ham nahi ..
Ab na khushi ke hay khushi, gham ka bhe aab tou gham nahi ..
Maut agerchay maut hay, maut say zeest kam nahi ..

"Noon"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Na Daulat Se Na Dunya Se Na Ghar Abaad Kernay Se
Tasalli Dil Ko Milti Hai Khuda Ke Yaad Kernay Se

'Ye'

Re: Bait Bazi -- July 2007

Youn to her lamha teri yaad ka bojhal guzra
dil ko mehssoos hoi teri kami shaam k bad

daal

Re: Bait Bazi -- July 2007

dushmani kerna hai apnay aap say
aaina-khanay main pathar sochna

khushk patto'n ke tarha mohsin kabhi
tum bhe sehra main bikhar ker sochna

alif

Re: Bait Bazi -- July 2007

Usay Kaho Ke Buhat Na'Muraad Shay Hai Junoon
Usay Kaho, Mujhe Hai Buhat Junoon Uska..

'Alif'

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ab aadat say zaroorat ban ga'ay ho
Tumhain milna zaroori ho gaya hai

ye