Bait Bazi -- July 2007

Re: Bait Bazi -- July 2007

woh samandar hay toh phir roh ko shaadaab karay
tashngi kion mujhe dayta hay saraabo'n ke trha

Re: Bait Bazi – July 2007

Ayye to yeu(n) kay jasay hemaisha thay meharba(n)
bhoolay to yeu(n) kay goyya kabhi aashnaa na thay



PS:- :salam:
**how are you **
**long time no see **

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ye adaa-e-be-niyazi tujhey be'wafaa mubaarak
par aesi be'rukhi kya ke salaam tak na pohNchey

"Ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yaad uski itni khoob nahin Meer baaz aa..
nadan phir woh jee se bhulaya na jaye ga

Alif

Re: Bait Bazi -- July 2007

**

Is sey pehley ke rut badal jaaey
apney saarey gulaab ley jaana

"Alif"
**

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ajnabi shehar yeh nisbat to rahe gi tujh se
tairii galiyoon mein rehta haii apnaa koiii..

Yeh

Re: Bait Bazi -- July 2007

Y**ehi bohat ke dil us ko dhoondh laaya hey
kisi ke saath sahi, wo nazar to aaya hey

**"Ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yeh taire sheharr mein kaisi hawa chali hai k ab
wafa ki sab ko talab hai wafa ka paass nahin..

Noon

Re: Bait Bazi -- July 2007

Negah daalein gaay na kisi per,yeh dil nay thaani the yaar lakin
Hum in neegahoo'n ko un ke janib, utha chukay to hoosh aa'ya

Alif

Re: Bait Bazi -- July 2007

isi fareb-e-nazar nay meray janoo ko pagal kya huwa hai
meray samandar bhi tishna lub hain teray khla mai sahaab kyu hai

ye

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yeh he bohat hai gawahee mere rafaqat ke
Kay mera saya tere dhoop say juda na hoa

Alif

Re: Bait Bazi -- July 2007

itna bayhis kay pighlta hi na tha batooN say
admi tha kay tarasha huwa pathaR dekha

alif :-)

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ab is k baad jism - o - jaa'n jalanay say bhi kia hasil
Charaghoo'n main lahoo jalta hai phir bhi roshni kam hai
"yay":D

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yahan Kisee Ko Koi Poochta Nahin Azar
Kahan Pe Laai Hey Andhi Hawa Ura Ke Mujhey

'Ye'

Re: Bait Bazi – July 2007

Ye jo ek shab ka hijaaB hai isay darmiyaN say hata kabhi Kay taloh-e-subha ki arzoo meri kitni nendaiN ura gaye

ye :smack:

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yeh zabt choot gaya to tumhari yaad ayi
main thak k toot gaya to tumhari yaad ayi
tumhare bad na tha koi maira, Dil ke siwa
yeh dil bhi rooth gaya to tumhari yaad ayi

Yeh

Re: Bait Bazi -- July 2007

*Ye dil bohat udaas hey jab sey khabar hui
miltey ho tum khaloos sey har ajnabi kay sath
*

"Hey"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Hum dasht thay k darrya hum zeher thay ke amret
nahaq tha za'am hum ko jab woh nahin tha pyasa

Alif

Re: Bait Bazi – July 2007

^Lovely :k:

**Apney ham’saey ke chiraaghoN sey
baam-o-dar ko saNwaar leyta hooN
itna muflis kia andheroN ney
roshni tak udhaar leyta hooN
**

“Noon”

Re: Bait Bazi -- July 2007

Na ho Un per jo Mera Bus nahi, k yeh Aashqi hai Hawas nahi
Mai Unhi ka tha, Mai Unhi ka hoon, wo Mere nahi to nahi Sahi

Jo ho Faisla wo sunaye, use Hashar per na Uthaye
Jo kareinge Aap Sitam wahan, wo abi sahi, wo yahin Sahi