Bait Bazi -- July 2007

Re: Bait Bazi -- July 2007

Aik muddat say koi khwaab nahi aankhoon main
Kuen hai phir dil kay dharaknay ki sadaa kuch to kahoo

"wao"

Re: Bait Bazi -- July 2007

*Wo door ho to baja tark-e-dosti ka khayaal
wo saamney ho to kab ikhtiyaar apna hey!
*

"Ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007

**Yeh kis muqaam pe pohnchaa diyaa zamaane ne
Ke ab hayaat pe teraa bhii ikhtiyaar nahiN

"Noon"**

Re: Bait Bazi -- July 2007

ye log tazakare karate hai.n apane logo.n se
mai.n kaise baat karuu.N aur kahaa.N se laa_uu.N use
magar vo zuud_faraamosh zuud ranj bhii hai
ke ruuTh jaaye agar yaad kuchh dilaa_uu.N use

"Ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007

**yoon na mujh se khafa ho jese
saath chal mouje saba ho jese
log yoon dekh k hans dete hain
too mujhe bhool gya ho jese *
*

Re: Bait Bazi -- July 2007

yaad nahin kya kya dekha tha saare manzar bhuul gaye us ki galiyon se jab laute apana bhi ghar bhuul gaye "ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Ya allah tu ne ye kya kiya, mere seene mein ye masoom dil rakh diya
Tadapta raha jis pyar ke khatir uske liye lamba safar tai karna likh diya

Re: Bait Bazi -- July 2007

aaNkhoN meiN jal raha hai kyuuN bujhta nahiN dhua'N
uThtaa to hai ghaTaa saa barastaa nahiN dhuaa'N

"noon"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Nook-e-nayza pay jo saj ker nikla
Kisi khud-daar ka sar lagta hai

Hijar ke raat kay sanatay main
Sans laytay hoay dar lagta hai

ye

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yuun Bhi Nahi Ke Meray Bulanay Se Aagaya
Jab Reh Nahi Saka To Bahanay Se Aagaya

'Alif'

Re: Bait Bazi -- July 2007

aayaa hai to jahaa.N me.n misaal-e-sharar dekh
dam de najaye hastii-e-naapaayedaar dekh
kholii hai.n zauq-e-diid ne aa.Nkhe.n terii to phir
har rahaguzar me.n naqsh-e-kaf-e-paay-e-yaar dekh

"hay" ??

Re: Bait Bazi -- July 2007

Hijr ka baab ho gay tum bhi
Kitnay kamyab ho gay tum bhi
Main na kehta tha waqt zalim hai
Daikh lo khwaab ho gay tum bhi

"yay"

Re: Bait Bazi -- July 2007

*Ye aek chaap jo muddat sey sun raha hooN meiN
koi to hey jo yahaaN aa ke laot jaata hey
*

"ye"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Yay kis nay hum say laho ka khiraj phir manga
Abhi to soy thay mqtal ko surkhoroo ker kay

"yay"

Re: Bait Bazi -- July 2007

**
Ye phir sey kon unhi raastoN pe chorr gaya
abhi abhi to azaab-e-safar sey nikley they
**
"Ye"

Re: Bait Bazi – July 2007

YAY YAY OR WO WO, YAY YAY NAHI AASAN
ARAY BABA BAS BHI KERO YAY YAY KI GARDAN
:smack:

Re: Bait Bazi – July 2007

To noon sey shuru kar leiN hum? :bummer:

**Naam likhtey heiN tera likh ke mitaa detey heiN
hum yuNhi dil ko mohabbat ki sazaa detey heiN
**

Aur “Noon” pe hi khatm. Wah…kya baat hey hamaari :smokin:

Re: Bait Bazi -- July 2007

:)

naa jaane kis adaa se liyaa tuune mera naam
duniyaa samajh rahii hai ke sab kuchh teraa huu.N mai.n
jaagaa huaa zamiir vo aaiinaa hai "Qateel"
sone se pahale roz jise dekhataa huu.N mai.n

"NooN"

Re: Bait Bazi -- July 2007

Naqsh-e-pa dhoondtay ho rah tamanna main kahan
Yahan mojoodgi khaak ghaneemat jano

"wao"

Re: Bait Bazi – July 2007

Wah Amjad bhai :clap: suwaad aa gaya baad’shaao :slight_smile: