Re: Bait Bazi -- July 2007
Rezaa Rezaa Ho Gay Jo Saray **
**Aisay Sapnon Ki Baat Karta Hon
Tum Ko Ghairon Nay Dukh Diay Hon Gay
Mein Tu Apnon Ki baat Karta Hon
Re: Bait Bazi -- July 2007
Rezaa Rezaa Ho Gay Jo Saray **
**Aisay Sapnon Ki Baat Karta Hon
Tum Ko Ghairon Nay Dukh Diay Hon Gay
Mein Tu Apnon Ki baat Karta Hon
Re: Bait Bazi -- July 2007
Nikaal De Mujhe Apni Khudai Se Bahar
Khata Muaaf Ke Ye Kaam Tere Bus Ka Nahi
'Noon'
Re: Bait Bazi -- July 2007
Na pooch toofan say pehlay ka sakoot
Kitna iztarab is qarar main hai
"yay"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Yaad tha usey har lafz meri tehreeroN ka
najaney kiuN wo har khat sambhal rakhti thi
Re: Bait Bazi -- July 2007
Yay saal bhi udaas raha rooth ker gaya
Tujh say milay baghair december guzar gaya
"alif"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Yaad tha usey har lafz meri tehreeroN ka najaney kiuN wo har khat sambhal rakhti thi
yay khat sanbhalnay wali kon thi :D:D:D
Re: Bait Bazi -- July 2007
**Aey Khuda ab tu hi meray safar ka anjaam bata dey!
Main to hoon dar-ba-dar, kia tu mera humsafar nahin?
Safr-e-junnon, raah-e-ishq, manzil benishaan aur tanhai
Safr-e-hayaat mein to mera saaya bhi mera humsafar nahin ..!!**
Re: Bait Bazi -- July 2007
Nazar mila ke zara dekh mat jhuka aankhaiN
barrha rahi heiN nigahoN ka hosla aankhaiN
"Noon"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Na Jee Bhar Ke Dekha, Na Kuch Baat Ki
Bari Aarzu Thee Mulaqaat Ki
'Ye'
Re: Bait Bazi -- July 2007
Yay mera sara huner teri khushiyoon say wabasta
Meray saray lafzoon per teri hukumrani hai
Khail jo bhi tha janaa'n ab kia hisab kerna
Jeet jis kisi ki bhi ho, hum nay haar mani hai
"yay"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Yaqeenann Zindagani Ke Masa-il Main Kami Hogi
Ager Insaan Main Hum Paida Sha-oor-e-Khair-o-Sharr Ker Dain
'Noon'
Re: Bait Bazi -- July 2007
Nigah mein jo utarta hai dil say kyun utray
Dil-o-nigah mein paida tazaad kya karna
"Alif"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Usi ka shehr wohi mud'dai wohi munsif
Humain yaqee'n tha hamara qasoor niklay ga!
"alif"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Usi Aik Shakhs Ke Wastay Meray Dil Main Dard Hai Kis Leay
Meri Zindagi Ka Mutaalba Wohi Aik Fard Hai Kis Leay
'Ye'
Re: Bait Bazi -- July 2007
*YuN to meiN haNs parra hooN tumhaarey leeye magar
kitney sitaarey toot parrey ik haNsi ke saath
*
"Hey"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Hum say yay khail ajab khail gai hai kismet
Un ka aana tha, hoi khatam kahani apni
"yay"
Re: Bait Bazi -- July 2007
**
YuN akeley meiN usey ehd-e-wafaa yaad aaey
jesey bandey ko museebat meiN Khuda yaad aaey
**
"Ye"
Re: Bait Bazi -- July 2007
Youn to pathar ki bhi taqdeer badal sakti
Shart yay hai keh usay dil say tarasha jay
"yay"
Re: Bait Bazi -- July 2007
**Yaad karte hain jab woh din hum aaj bhi
hain kitne tanha tere bin hum aaj bhi
kaisi doori huee hai jaana kya bataaon main
guzre lamho main thay jo sapne kabhi
toote sitaare ki tarha gire hain woh aaj bhi
**
Re: Bait Bazi -- July 2007
**ye kon hai jo mujhko dua'aen deta hai
mein doobta hoon aur samandar uchaal deta hai
"ye"**