yeh gaye dino ki baat hey isi raah per tum merey saath they
Main Naye Saffer per hun gaamzan mujhye door ja k sadda na deymujhye dushmano se gila nehin silla doston se mila nehin
mujhye jitna jeena tha je chuki mujhye aur jeeney ki dua na de
Na dosti say rahay, na dushmani say rahay
Humain tamam gilay apni agahi say rahay
Wo pass aay to mozo guftgu na milay
Wo lot jay to to her guftgu usi say rahay
AankheiN khuleeN tou khaabN ko bura laga magar
kuch deir wuh reh ke muztarib khud hi behal gaey
pehley pehal tou ajeeb lagey badley huwey chehrey
phir yooN huwa k waqt k saath hum bhi sanbhal gaey
Nooch ker shakhoon say khushk patoon ka libaas
Zard mousam banjh rut ko bay - libasi day gaya
Lay gaya Mohsin wo mujh say abr banta aasmaan
Us k badlay main zamee'n sadiyoon ki piyasi day gaya
Yay hijr hai to is ka faqt wasl hai ilaj
Hum nay yay zakhm waqt ko bharnay nahi diya
Us nay hansi hansi main mohobbat ki bat ki
main nay Adeem us ko mukarnay nahi diya
**
Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do
Bohat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do
**