Bait Bazi- January

Re: Bait Bazi- January

*Yeh udasiyaaN bhi kahaN rahaiN gi
seekh laiN ge ham dil ko behlana *

'be' alif'

Re: Bait Bazi- January

Ay Kaash Too Bhi Sunta Kabhi Aahaton Ki Goonj
Too Bhi Meri Tarah Se Dhoondta Mujhe . . . .

"yey"

Re: Bait Bazi- January

**Yeh na thee hamari kismat kay visale yaar hota
Aggar aur jeetay rehtay yehi intezaar hota.

Hey/alif**

Re: Bait Bazi- January

Hath chhootay bhi to rishtay nahin chhora kartay
Waqt ki shakh se lamhay nahin toda kartay

Shehad milta hai jeene ka thoda thoda
Jaane walon ke liye dil nahin toda kartay

Re: Bait Bazi- January

Kuch bhi kiya ho hum ney , kahin bhi gaye hoN hum

Hadd se tumhari yaad k baahar gaye haiN kia ?

Re: Bait Bazi- January

Kaha tha kis ne ke ehd e wafa karo us se
Jo yoon kiya hai to phir kyon gila karo us se!

Re: Bait Bazi- January

sula lo apne daman me k phir kabhi jagu na
k muddat se soya nahi hu tere jane ke bad
***


Re: Bait Bazi- January

Doosti Ka Bhi Hai Mausam Say Taluq Shayed
Rut Badalti Hai To Kyoon Badal Jatay Hain Log

Re: Bait Bazi- January

**lab pe aatii hai duaa banake tamannaa merii
zindagii shammaa kii surat ho Khudaayaa merii

meem/ye**

Re: Bait Bazi- January

merey Khudaa mujhey itanaa to mo'atabar kar de
main jis makaan mein rahtaa huuN us ko ghar kar de

'daal' ye'