Re: Bait Bazi- January
**Bauhat bey aabroo ho ker teray koochay say hum niklay
bauhat niklay meray armaan lekin phir bhi kum niklay.
noon/ye**
Re: Bait Bazi- January
**Bauhat bey aabroo ho ker teray koochay say hum niklay
bauhat niklay meray armaan lekin phir bhi kum niklay.
noon/ye**
Re: Bait Bazi- January
yahaan sab ke muqaddar mein faqat zakhm judaii key
sabhi jhootay fasanay hian ,wisaal-e-yaar ke kisaay
Re: Bait Bazi- January
yuN phir raha hay kanch ka paikar liye huwey
ghafiL ko ye gumaaN hay phater na aaye gaa..
'gaaf'/alif
Re: Bait Bazi- January
yuN phir raha hay kanch ka paikar liye huwey ghafiL ko ye gumaaN hay phater na aaye gaa..
'gaaf'/alif
Aap ayein wapis intikhab mein Khuda kee qudarat hai
Kabhi hum aap koh kabhi apnay forum koh dekhtey hain. :D
Hey/noon
Re: Bait Bazi- January
neendon ki baghawat se ik nuqsaan hua MOHSIN
ik shakhs k khwabon ko tarasti rhi ankhen...
alif/noon
Re: Bait Bazi- January
Shukriya
aaja k abb tou aankh se aansoo nikal paray
saaghar chalak utha, merey sabr-o-qaraar ka
Re: Bait Bazi- January
KAL mila waqat tou zulfain teri suljha doon ga
AAJ uljha hoon zara waqat ko suljhane main
Re: Bait Bazi- January
Nao bun jae koi shor machati hoe lehar,
Kya khabar dobne walon ko kinara mil jae
Re: Bait Bazi- January
yar bhe rah ke deewar samjhtay han mujhay
ma samjhta tha maray yar samjhtay han mujhay
Re: Bait Bazi- January
Yeh aankh jab zara num ho aur barish ka mausam ho
mujhay lahaq tera ghum ho aur barish ka mausam ho
Re: Bait Bazi- January
Woh mujh say poch raha tha bataao kaisa laga,
Tum pichhlay zakhm ko chhoRo yeh ghao kaisa laga,
Ajab sawaal poochaa aandhoiyoN nay pattoN say,
Shajar say toot ke girna bataao kaisa laga.
'laam' alif'
Re: Bait Bazi- January
Aahh mehfil me naa nikalanay di ,
Chhup ke rona bhi kuch gunah he kya?
Re: Bait Bazi- January
last word ![]()
Re: Bait Bazi- January
jo mera hai,main kisi or ko kiun doon
main apni muhabbat main bachon ki tara hun…
i know last word j nai hai per mujhe ye sher pasand hai :hinna:
Re: Bait Bazi- January
Aahh mehfil me naa nikalanay di , Chhup ke rona bhi kuch gunah he kya?
koi jannat ka talib hai,koi gham se pareshan hai
zarooraten sajda kerwati hen,ibadat kon kerta hai...
hay/yay
Re: Bait Bazi- January
Ye uss ke pyar ki baten faqat qisse purane hain
Bhala kachay ghaday pe kon darya paar karta hai
Re: Bait Bazi- January
ye shikway shikayaton ki nahi,zaraf zaraf ki bat hai
tere wehm-o-gumaan men b hum nhi or tu lafz lafz hamen yad hai...
hay/yay
Re: Bait Bazi- January
[RIGHT]**ہر صبح میری صبح پہ روتی رہی شبنم
ہر رات میری رات پہ ہنستے رہے تارے
کچھ اور بھی ہیں کام ہمیں اے غم جاناں
کب تک کوئ الجھی ہو ئ زلفوں کو سنوارے**
‘seen’ ye’
[/RIGHT]
Re: Bait Bazi- January
Sari baat taluq ki hai jazbon ki sachai tak
Mayl dilon main ajae to Ghar veeraN hojate hain
Re: Bait Bazi- January
honton pey hansi, aankh mein taron ki lari hai
whahshat barey dilchasp dorahay pey khari hai