Bait Bazi- January

**
aaye kash ye naya saal khushiyon ki naveed laye
is mulk ke har shehri ko ye saal raas aaye
na ho saniha koi, ab na ujray koi ghar
naye saal ka har lamha pegham-e-aman laye (Ameen)

**

laam/ye

Re: Bait Bazi- January

Aameen!

Re: Bait Bazi- January

Yuun tu likhnay ko kya nahi likha mainey
Phir bhi jitna tujhe chaha nahi likha mainay

yun to hongey buhat Zamaney main Shayer
Jaisay sab likhtay hai waisa nahi likha meinay .

Yun tu ek lehar mein kuch rang jhalak atay hai
Mujh mein hai ju darya nahi likha meinay

Re: Bait Bazi- January

Maar deta hai bichar jane ka dohra ehsaas
Kaash na ho koi kisi se juda shaam ke baad ...

Next: "Bay / Daal"

Re: Bait Bazi- January

Dil ko isi fareib mein rakhkha hai umr bhar
Iss imtehan kay baad koi imtehan nahi

Re: Bait Bazi- January

Na jane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban mujhe chorh gaya

Re: Bait Bazi- January

is baar vo milaa to ajiib us kaa rang thaa
alfaaz mein tarang na lahajaa dabang tha

Re: Bait Bazi- January

Ab aakhri Satro'n main kahin naam hai us ka
Ahbab Ki fehrist Main Pehla Tha jo Ik Shaks

Re: Bait Bazi- January

saaf zaahir hai nigaahoN se k ham marte haiN
muNh se kahte huye yeh baat magar Darte haiN

Re: Bait Bazi- January

Na sawal e wasl na arz e gham, na hikayaten na shikayaten
Tere ehad main dil e zaar ke, sabhi ikhtiyar chale gae

Re: Bait Bazi- January

Ye Thandi Shaam ye Badalon mein chupa huwa chand,,,
Na jane Kyun aaj ye dono bahut Khoey khoey se hain...!

Re: Bait Bazi- January

Na gaur e sikandar, na hai qabr e Dara
Mitay Naamiyon ke nishaan kaise kaise

Re: Bait Bazi- January

Yeh kya sittam ke zindagi har pal hai imtehaan
Aur aakhirat mein ja ke bhi dena hai hisaab ...

"Hay / Bay"

Re: Bait Bazi- January

Bana gulab to kaante chubho gaya ek shakhs
Huwa charagh to ghar hi jala gaya ek shakhs

Muhabbaten bhi ajab uski nafraten bhi kamal
Meri tarah ka hi mujh main sama gaya ek shakhs

Re: Bait Bazi- January

*saaf chhupte bhii nahiiN, saamne aate bhii nahiiN
kia Khoob hai parda k chilman se lage baiThe haiN *
:)

aglaa she'r Harf-e-"NOON" **se :)**

Re: Bait Bazi- January

Nafs Nafs mera girvi hai uski chahat main
so ab yeh rooh bhi neelam karne wala hoon

Re: Bait Bazi- January

na gul khile hai.n, na unase mile, na mai pii hai
ajiib rang me.n ab ke bahaar guzarii hai

Re: Bait Bazi- January

Yeh Kahan ki dosti hai ke bane hai dost Naseh
Koi chara saaz hota koi ghamgusaar hota

Re: Bait Bazi- January

Usay yaad ker key naa dil dukhaa, jo guzr gaya woh guzr gaya
kahaan laut ker koi aaye gaa , jo guzar gaya woh guzr gaya

Re: Bait Bazi- January

arbaab-e-baseerat kii dunyaa shaa'ir kii sunehrii shaam nahiiN
tu shamm'e-e-Haram kaa parvaana, maiN jugnuu uNke daaman kaa!
**

a she'r by my: ***Dad! *:)