Bait Bazi- January

Re: Bait Bazi- January

***Hai ek sodaa ager mano to tay kar lain....

qarar-e-zindgi le lo,Jawaz-e-zindgi de do..***.

Re: Bait Bazi- January

Yeh Mashghala hai kisi ka na jane kia chahay
Na faslon ko mitae na faisla chahay

Re: Bait Bazi- January

Duniya ke iss shor ne Amjad, kia kia hum se cheen lia hai
Khud se baat kiye bhi ab to, kai zamane ho jatay hain

Re: Bait Bazi- January

satyanass ker diya poori game ka … :cryb:

Re: Bait Bazi- January

I was posting shair after Ehsan Uncle and then saw your shair :frowning:

Now post shair with hai/ Noon

Re: Bait Bazi- January

**Hai ikhtiyaar mein tere toh mojazaa kar de
vo shakhs meraa nahin hai use meraa kar de

daal/ye**

Re: Bait Bazi- January

Dunia jisse kehte hain jadoo ka khilona hai
Mil jae to mitti hai, kho jae to sona hai

Re: Bait Bazi- January

ye pur-sukuun subah ye main ye fazaa "Shaoor"
vo so rahe hain ab unhen bedaar kyaa karuuN

Re: Bait Bazi- January

Na dil dukhana kabhi tum apna udaas raaton kee chaandni say
Sambhal rakhna tum apni saansain udasiyun ko mita ke rakhna

Re: Bait Bazi- January

Ay badal tu aaj q baras raha hay !!!

December to taras k guzar Gaya Teri

Re: Bait Bazi- January

Rasm e ulfat hi ijazat nahin deti warna
Hum bhi aisa tumhe bhoolain ke sada yaad karo

Re: Bait Bazi- January

Wo Meri Shakal Mera NaaM Bhulane Wali,
Apni Tasveer Se Kya Aankh Milati Hogi

Re: Bait Bazi- January

go chal para hon dil sey magar chahta hon yeh
uth k mujhey woh rok ley or raasta na dey...!

Re: Bait Bazi- January

dushmanoon ka sath maray dost bhe azad han
dakhna ha khanchta ha mujh pa pahla teer kon

Re: Bait Bazi- January

Na wuh din rahay na wuh mehfilaiN na wuh jaan say azeez log..
Waqt chheen k lay gaya meray apnay mujh say kahaN kahaN
..

'noon' / kaaf'

Re: Bait Bazi- January

“Kis ki Kya majal thi jo koi Hum ko kharid sakta”,,,
“Hum to khud hi Bik gaey kharidar dekh k”

Re: Bait Bazi- January

karoon gaa kiya jo mohabbat main hogiyaa nakaam
mujhay to aur koe kaam bhi nahin aata

Re: Bait Bazi- January

Alfaaz ki surat meiN sakoon maang lo mujh sey
ehsaas ka suraj tau yahaaN doob chala hai ...

he' ye'

Re: Bait Bazi- January

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?
Mujhay tau khair tera intazaar karna hai..

Re: Bait Bazi- January

Haadsa hai magar aisa to alamnaak nahi
eik dost ney eik dost ko barbaad ker diyaa