Re: Bait Bazi- January
kisi mod par takrav ho jata hai aksar,
thehra hum bhi nahi karte,ruka wo bhi nahi karte
Re: Bait Bazi- January
kisi mod par takrav ho jata hai aksar,
thehra hum bhi nahi karte,ruka wo bhi nahi karte
Re: Bait Bazi- January
Kuch tere mausam hi mujhy raas kam aye
Aur kuch meri matti main baghawat bhi buhat thi
Re: Bait Bazi- January
Teray lehjay se yeh ab mujh ko maloon hoa
Tujhey dushwaar lagta hai ab mujh se taluq rakhna
Re: Bait Bazi- January
Is tark-e-rafaaqat pe pareshaN to hooN lekin
ab tak ke tere saath pe hairat bhi bohut thi
Re: Bait Bazi- January
yeh bhool thi us ki ke aghaaz-e-wafa ham karein gay
ham to khud se rooth jaayein tu sadyon khamosh rehtay hain
Re: Bait Bazi- January
ham apne aap mein yun gum hue hein muddat se,
hamen to jaisay kisi ka bhi intezaar nahin...
kisi ko toot kar chaahen ya chaah kar tootain,
hamare paas to itna bhi ikhteyaar nahin
Re: Bait Bazi- January
azar se qatal kar dalo na ho takleef dono ko
Tumhe khanjar uthane ki, Mujhe garden Jhukane ki
Re: Bait Bazi- January
**kabhii kabhii yuun bhii hamane apane hii ko bahalaayaa hai
jin baaton ko Khud nahin samajhe auron ko samajhaayaa hai
hey/ye**
Re: Bait Bazi- January
Haath Hila Ker Rukhsat Hoga
Oos Ki Soorat Hijr Ka Chand
Sehra Sehra Bhatak Raha Hai
Apnay Ishq Main Sacha Chand
Raat Kay Shayad Aik Bajay Hain
Sota hoga mera Chand
Re: Bait Bazi- January
****Do hi ghaRyaaN haiN, jo mujh par umr meiN guzreen kathin
Aap ke aaney se pahlay, aap ke jaaney ke baad
bey/daal****
Re: Bait Bazi- January
Bikhar Gaya Hai Phool To Hum Hee Se Pooch Guchh Hui
Hisaab Baghbaan Se Hai Kia Dharaa Hawa Ka Tha
Re: Bait Bazi- January
****Terii mehfil ko Khuda rakhe abad tak qaayam
hum to mehmaan hain gharhi bhar kay, hamaara kya hai
hey/ye
Re: Bait Bazi- January
Hawa e Tazaa main phir jism o jaan fasaane ka
Dareecha kholen ke hai waqt uske aane ka
Asar hua nahin uss par abhi zamane ka
yeh khwab zaad hai kirdaar kis fasaane ka
Kabhi kabhi wo hamen be sabab bhi milta hai
Asar hua nahin uss par abhi zamane ka
Re: Bait Bazi- January
****Kabhee ay haqeeqat-e-muntazar, nazar aa libaas-e-majaaz meiN
Ke hazaaroN sajdey taRap rahey haiN mery jabeen-e-neyaaz meiN
meen/noon
Re: Bait Bazi- January
Meri talab tha ek shakhs, wo jo nahin mila to phir
Hath dua se yun gira, ke bhool betha sawal bhi
Re: Bait Bazi- January
**badalaa na apane aap ko jo the vahii rahe
milate rahe sabhii se magar ajanabii rahe
rey/ye
**
Re: Bait Bazi- January
Ro pada wo shakhs aaj alvida kehte kehte
Meri sharaton pe deta tha jo dhamkiyaan judai ki
Re: Bait Bazi- January
**kahaan voh qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhii Khvaab jaisaa hai
hey/ye
**
Re: Bait Bazi- January
yaad ker k mjuhe takleef hi hoti ho gi
ek kissa hoon purana sa, bhula de mujh ko....
Re: Bait Bazi- January
**voh saamane hai magar tishnagii nahin jaati
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai
hey/ye
**