re: Bait Bazi (January 2015)
bhula baiThay hain Khud apnay aap ko bhi
kuchh esay kaam main uljhay huway hain
hey/noon
re: Bait Bazi (January 2015)
bhula baiThay hain Khud apnay aap ko bhi
kuchh esay kaam main uljhay huway hain
hey/noon
re: Bait Bazi (January 2015)
na tha kuch to khuda tha kuch na hota to khuda hota,
diboya mujh ko honay nay, na hota maiN to kia hota
hay/alif
re: Bait Bazi (January 2015)
*hamako mitaa sake ye zamaane mein dum nahin *
**hamase zamaanaa Khud hai zamaane sey hum nahin
noon**
re: Bait Bazi (January 2015)
na janay kon sa Aasaib rehtay hai mere dil main....thayra jo bhi,makaan chor gaia
re: Bait Bazi (January 2015)
agar tu ittafaqan mil bhi jaye
teri furqat kay sadmay kam na hongay
re: Bait Bazi (January 2015)
Yehi dastoor-e-duniya hai 'Sagar' shikwa kis se karain
Mujhe hansa ke phir rula diya mere dostoon ne
re: Bait Bazi (January 2015)
Dard bhi iss tarah se hota hai,
Jese phir dard hi naheen hona
HAI/Alif
re: Bait Bazi (January 2015)
*apanaa hunar dikhaa denge hum tujh ko shiishaagar *
**tuutaa hua kisii ka agar hamase dil banaa
bey/alif**
re: Bait Bazi (January 2015)
ik gumnaam musarrat ka bhi pehlu niklay
kuch qareenay say agar gham ko sajaya jaye
jeem/ye
re: Bait Bazi (January 2015)
*ye rashk hai ki wo hotaa hai hum sukhan hum se *
**wagarnaa Khauf-e-badaamozii-e-adoo kyaa hai
hey/ye**
re: Bait Bazi (January 2015)
** Hum hain Wo sokhy huay talab pe baithy huns
Jo talauq ko nibhatay huay mar jaty hain
Hum hain wo toti hui kashtiyoon wale Faraz
jo kinaroon ko milaty huy mar jaty hain**
re: Bait Bazi (January 2015)
nahi mil raha hay yahaaN kaheiN meri zaat ka hi nishaaN mujhey
sun aey justuju dey jawaab tu, ke ley aai hey ye kahaaN mujhey
re: Bait Bazi (January 2015)
mar bhi jaaon ga to log kahan bhula he dain gay
lafz mere , mere honay ki gawahee dain gay !
re: Bait Bazi (January 2015)
yun zindagi guzar raha hoon main teray baghair
jesay koi gunah kiye ja raha hoon main
re: Bait Bazi (January 2015)
*main ney kaha kay yaar tumhen kyaa huaa hai ye *
**us ne kahaa ki umr-e-ravaan kii ataa hai ye
ye/hey **
re: Bait Bazi (January 2015)
har zarraa chamaktaa hay anwaar-e-ilaahi say
har saans ye kehti hay hum hain to Khudaa bhi hay
re: Bait Bazi (January 2015)
hisab e umer ka itna sa goshwara hai
tumhain nikal k dekha tu sab khasara hai ki
re: Bait Bazi (January 2015)
...
re: Bait Bazi (January 2015)
ye warq warq teri daastan, ye sabaq sabaq teray tazkeray
mai karon to kesay karon alag tujahy zindagi ki kitaab say
re: Bait Bazi (January 2015)
sub ko khushiaan mill jaate hain.... mera his'sa kho jaata hai....