Bait Bazi (January 2015)

re: Bait Bazi (January 2015)

aap sub say pehlay apna hissa utha liya karein. :)

re: Bait Bazi (January 2015)

*yak jaan na ho sakiye anjaanna ban sakiye *
**yon tuut gai dil mein shamashiir-e-shanaasaaii

sheen/ye**

re: Bait Bazi (January 2015)

ehsan> bus yehe tareqa nahi seekh paye : ) ........ . Shor e dariya say keh raha hai samandar ka sakoot . . . . . . . . . . .jis ka jitna zarf hai, utna he khamosh hai . . .

re: Bait Bazi (January 2015)

yehi nahi ke humain toR gaya hay koi
ussay bhi bohot der khud ko joRna hoga

re: Bait Bazi (January 2015)

keh raha hay shor-e-dariya say samandar ka sakoot
jiska jitna zarf hay, wo utna he khaamosh hay

re: Bait Bazi (January 2015)

itna bharosa na kar haaton ki lakeeron par ....k qismat un ki bhi hote hai, jin k haath nahi hotay..

re: Bait Bazi (January 2015)

*yaarab is ikhtilaat ka anjaam ho baakhair *
**tha us ko ham se rabt, magar is qadar kahaan

kaaf/noon**

re: Bait Bazi (January 2015)

kujh raah day painday ookhay saan.. kujh gal vich gham da toaq vi si... kujh shehar day loog vi zaalim saan..kujh mainu maran da shoq vi si.

re: Bait Bazi (January 2015)

bibi kuch khuda ka khof karain

kujh unj wi rahnwan okhiyaan san...
...
...
kujh sanu maran da shoq wi si

ye aur baat ke minbar pe kuch nahin kehte
khamosh log bala ke khateeb hote hain

he/noon

re: Bait Bazi (January 2015)

Aceones> .. . Mainay aysay he yeh yad kia tha ..* snooty*.............

re: Bait Bazi (January 2015)

nahi na umeed iqbal apne kasht e weeran say..,.......,. zara nam ho to yeh mitte bare zarkhaiz hai saaqi..........

re: Bait Bazi (January 2015)

ye such hy mujh ko aqal nay kuch pukhtagi to di
par wo maza kahan jo nadaniyoon main tha

re: Bait Bazi (January 2015)

taiz hawa nay mujh say poocha.......rayt par kia likhte rehte ho..

re: Bait Bazi (January 2015)

ye kis qisam ka sher hay?

Wohi Kaarwaan, Wohi Raastay, Wohi Zindagi, Wohi Marhalay
Magar Apne Maqaam Par Kabhi Tum Nahin Kabhi Hum Nahin

re: Bait Bazi (January 2015)

Nahi jis pay koi Nishaan e Paa

Mere Samnay hay woh Rah Guzar !

re: Bait Bazi (January 2015)

ruk jain jo kuch dair, to hum baiTh kay dam lain
badlay hi chalay jaatay hain halaat musalsal

re: Bait Bazi (January 2015)

mere Rooh ki haqeeqat mere Ansu'ooN say poocho !
mera majlasee tabas'sum mera terjumaaN nahi hai

re: Bait Bazi (January 2015)

ye khush nazri khush nazar aanay kay liye hay
andar ki udaasi ko chhupaanay kay liye hay

re: Bait Bazi (January 2015)

haasil mere zindage ka yeh nikla ...jis say bhi wafa ki.wo baywafa nikla

re: Bait Bazi (January 2015)

*hum dahar ke is viiraane mein jo kuchh bhii nazaaraa karate hain *
**ashkon kii zabaan mein kahate hain aahon se ishaaraa karate hain

hey/noon**