Bait Bazi (January 2015)

re: Bait Bazi (January 2015)

yeh na the hamare qismat k visaal e yaar hota... ...agar or jeetay rehtay.yehe intizaar hota .,

re: Bait Bazi (January 2015)

aap kii berukhii kaa shikavaa kyaa
**dil thaa naapaaidaar tuut gayaa

gaaf/alif**

re: Bait Bazi (January 2015)

aashna dard say kisi tor hona tha hummain
tu na milta to kisi aur say bichhaRay hotay

he/ye

re: Bait Bazi (January 2015)

*ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake *
**ki gunche khil to sake khil ke muskuraa na sake

seen/ye **

re: Bait Bazi (January 2015)

ye jo gard hay meray jism par, kaee manziloon ki naveed hay
ye aTa huwa, ye phaTa huwa, jo libaas hay, mujhay raas hay

he/ye

re: Bait Bazi (January 2015)

Yeh to waqt ke bas mein hai ke kitanii mohalat dey
Vernaa baKht Dhalnay mein der kitanii lagatii hai

re: Bait Bazi (January 2015)

ho sakay to sun jao ek din akelay main
tumsay kya kahain janaan is qadar jhamelay main

meem/ye

re: Bait Bazi (January 2015)

maana k taghaaful na kero gay lakin

hum khak ho jain gay tum ko khabar honay tak

re: Bait Bazi (January 2015)

tumhari baat lambi hay, daleelain hain, bahaanay hain
hamari baat itni hay hamari aarzoo tum ho

re: Bait Bazi (January 2015)

wada wafa na kertay

wada to kia hota !

re: Bait Bazi (January 2015)

usnay kuch is andaaz main izhaar kiya tha
iqrar kam, iqrar main inkaar bohot tha

re: Bait Bazi (January 2015)

itne kthan musaaftoon k bad yeh khula

hum jis teraf rawan thay udher rasta na tha

re: Bait Bazi (January 2015)

tumnay hamaray dil main bohot din safar kiya
sharminda hain ke ismain bohot Khumm milay tumhain

re: Bait Bazi (January 2015)

Naram lafzon say bi lag jate hain aksar chotayin.... Doste ik nazuk sa hunar hote hai

re: Bait Bazi (January 2015)

ye khadsha tha ke mushkil hay tera laot aana, lekin phir bhi
thaam ke haath ummeedoN ka, Tehlaatay rahay hum kitni dair

re: Bait Bazi (January 2015)

dil main dard ho to dawa kejie...jub dil he dard ho to kia kejey.

re: Bait Bazi (January 2015)

yehi dil tha keh tarasta tha marasim kay liye
ab yehee tark-e-taluq kay bahaanay maangay

re: Bait Bazi (January 2015)

miltay nahi tum ik baar humain

or yeh Zindge dobara nahi

re: Bait Bazi (January 2015)

ye ajab khel hay ishq ka main nay ap dekha ye mojeza
wo jo lafz meray guman main thay vo teri zuban par a gaye

re: Bait Bazi (January 2015)

yaad kisii kii chaa.Ndanii ban kar koThe koThe utarii hai
yaad kisii kii dhuup hu_ii hai ziinaa ziinaa utarii hai

hay/yey