Bait Bazi (January 2015)

re: Bait Bazi (January 2015)

aaj us ne mire zakhmoN pe chiRakne ke liye
zehr bhii laa ke milaya hay namak-daanoN meiN

:(

meem/noon

re: Bait Bazi (January 2015)

Mujhe Kuch Youn Nazar Aane Laga Hai,
Woh Goya Mujhse Ghabrane Laga Hai
Kabhi Kehta Nahin Woh Aapne Munhse,
Muhabat Kar Ke Pachtane Laga Hai

he/ye

re: Bait Bazi (January 2015)

yoon to zabt bohat hai hum mein lekin
aankh tak aaye aan'su peena mushkil hota hai

hay/yey

re: Bait Bazi (January 2015)

hum hain mushtaq aur wo bezar
ya ilahi ye majira kya hai

he/ye

re: Bait Bazi (January 2015)

hairat hai k woh log bhi ab chhoR chale hain
jo meri hatheli pe lakeeron ki tarah thay

te/ye

re: Bait Bazi (January 2015)

hairat baRi he se hota halwe wali. aap ko choti ye se shair post karna hai

re: Bait Bazi (January 2015)

*yaa rab kisii ke raaz-e-mohabbat kii Khair ho *
**dast-e-junuun rahe na rahe aastin rahe

rey/ye**

re: Bait Bazi (January 2015)

yaad rehte hain buyre waqt k saaathi kisey?
subha hoote hi loog shama ko bhula dete hain

hay/noon

re: Bait Bazi (January 2015)

Hoti nahi qabool dua tark-e-ishq ki
Dil chahta na ho to dua mein asar kahan

kaaf / noon

re: Bait Bazi (January 2015)

Nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin
**Bahot bey aabru hokar tere kooche se hum nikle

noon/ye**

re: Bait Bazi (January 2015)

Yeh daur apnay Baraheem ki talash main hai.
Sanam kada hai jahan, La Ilaaha Ilallah

Alif

re: Bait Bazi (January 2015)

Itni gehraai mein Hum nahi parte

re: Bait Bazi (January 2015)

*aah ko chaahiye ik umr asar hone tak *
**kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak

tey/kaaf **

re: Bait Bazi (January 2015)

Tum Ko Jub Bojh Lagay Sath, Tou Bata Daina
Hum Chup Chaap Muhabbat say Mukar JaieN Gaiy

gaaf/yeh

re: Bait Bazi (January 2015)

*yaar thaa gulzaar thaa baad-e-sabaa thii main na thaa *
**laayaq-e-paa-bos-e-jaan kyaa hinaa thii main na thaa

tey/alif**

re: Bait Bazi (January 2015)

Is ma qismat ki khata hai na zamany ka kasoor
ghum to insaan ky jeeny ki saza hoty hain

hay/noon

re: Bait Bazi (January 2015)

hum bhii pyaase hain ye ehasaas to ho saaqii ko
**Khaalii shiishe hii havaaon mein uchhaale jaayen

jeem/noon**

re: Bait Bazi (January 2015)

Jo guzari mujh pe mat us se kaho hua so hua
bala-kashan e muhabbat pe jo hua so hua

he/alif

re: Bait Bazi (January 2015)

*hur manzil-e-hayaat se gum kar gayaa mujhe *
**mur mur ke raah mein vo teraa dekhanaa mujhe

meem/ye**

re: Bait Bazi (January 2015)

Muqarar waqt hota hai, muhabbat ki namaazooN ka
Ada jin ki nikal jaye, qaza bhi choot jaati hay

he/ye