Bait Bazi (January 2015)

re: Bait Bazi (January 2015)

rahbar samajh liya hay tujhe, gard-e-karawaaN
chalte rahengay ham bhii, jahaaN tak ghubaar hay

he/ye

re: Bait Bazi (January 2015)

Haath choote bhi to #Rishte](http://www.paklinks.com/gs/usertag.php?do=list&action=hash&hash=Rishte) nahi choota karte
Waqt ki shaakh se lamhe nahi tora karte

kaaf / ye

re: Bait Bazi (January 2015)

Haath choote bhi to #Rishte](http://www.paklinks.com/gs/usertag.php?do=list&action=hash&hash=Rishte) nahi choota karte
Waqt ki shaakh se lamhe nahi tora karte

kaaf / ye

re: Bait Bazi (January 2015)

kisi tarah to jamay bazm maykaday waalo
nahin jo baadaa-o-saagar to haa-o-hoo hi sahi

seen/ye

re: Bait Bazi (January 2015)

*ye zaruurii nahin hur shakhs masiihaa hii ho *
**pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaayaa na karo

kaaf/wao**

re: Bait Bazi (January 2015)

woh mera un ka ta'alluq jo rasm-o-raah ka tha
bas us main sara saleeqa meray nibaah ka tha

te/he

re: Bait Bazi (January 2015)

**tune ye phul jo zulfon mein laga rakha hai
ik diya hai jo andheron mein jala rakha hai

hey/ye**

re: Bait Bazi (January 2015)

yun na mil mujh se khafa ho jaise
sath chal mauj-e-saba ho jaise

jeem/ye

re: Bait Bazi (January 2015)

jala rahay thay kaaghazi gharoon main mombattiyaan
hawa nay khaye pech-o-taab, sab dhhunwain ho gaye

gaaf/ye

re: Bait Bazi (January 2015)

Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka karobaar chale

che/ ye

re: Bait Bazi (January 2015)

chaand nikla to Ghazab Dhaa jayega
raat behtar hay ye kaali hi rahay

re/ye

re: Bait Bazi (January 2015)

**Yeh na thee hamari kismat kay visal-e-yaar hota
Agar aur jeetay rehtay yehi intezaar hota.

hey/alif**

re: Bait Bazi (January 2015)

haal maazi aur mustaqbil ki fikar khaa gaiee
ye safar kab khatm hoga aadmi ki soch ka

kaaf/alif

re: Bait Bazi (January 2015)

Aey ishq dil ki baat kahun bura to nhi manoge,
Bari rahat k din thay teri pehchaan se pehlay...

Pay/ye

re: Bait Bazi (January 2015)

paida rah-e-khaloos mein dushwariyaan na kar
chahat nahi to ham say ada-kaariyaan na kar

kaaf/re

re: Bait Bazi (January 2015)

KYun Chupkay Se Utar Jatay Hain Woh Loog Dilon Mein.
Jin Logon Se Kismat Ke Sitaray Nahi Miltay.

Meem/Ye

re: Bait Bazi (January 2015)

main kya karuN ga agar woh na mil saka Amjad
abhi abhi mere dil me khayaal aaya hai

he/ye

re: Bait Bazi (January 2015)

ye aarzuu thii ke ham uske saath saath chaleN
magar vo shaKhs to rastaa badaltaa jaataa hai.

hay/ye

re: Bait Bazi (January 2015)

*yahan kis ko hai mayyasar ye kaam kar guzaranaa *
**ek baankpan pe jiinaa ek baankpan pe maranaa

meem/alif**

re: Bait Bazi (January 2015)

:wsalam:

Aur Time Pass Ka Target 500 :hmmm: