Bait Bazi (January 2015)

Re: Bait Bazi (January 2015)

*narm aavaaz bhalii baate.n mohazzab lahaje *
**pahalii baarish mein hii ye rang utar jaate hain

hey/noon**

Re: Bait Bazi (January 2015)

nigah-o-dil ko qaraar kesa, nishaat-o-gham main kami kahaan ki
wo jab milay hain to un say har baar ki hay ulfat naye siray say

Re: Bait Bazi (January 2015)

Sard raat, tumhara intizar,or neend ka bojh. . . . . . . .tum say muhabbat na karta to kab ka soo chuka hota

Re: Bait Bazi (January 2015)

ana ki baat hay warna muhabbat ab bhi baki hay
tumhain meri mughay teri zroorat ab bhi baaki hay

Re: Bait Bazi (January 2015)

*yaa rab vo na samajhe hain na samajhenge merii baat *
**de aur dil unako jo na de mujhako zubaan aur

alif/rey**

Re: Bait Bazi (January 2015)

Roz kehta hun k bhool jaon tujhay. . . .roz yeh bat bhool jata hun mai

Re: Bait Bazi (January 2015)

meray haath say teray haath tak
wo jo haath bhar ka tha faasla
kaee mosamooN main badal gaya
isay naaptay, isay kaaT-tay
mera saara waqt nikal gaya

Re: Bait Bazi (January 2015)

*aah ko chaahiye ik umr asar hone tak *
**kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak

tey/kaaf**

Re: Bait Bazi (January 2015)

kya hay jo badal gai hay duniya
main bhi to bohot badal gaya hun

Re: Bait Bazi (January 2015)

hamaare aib hamein ungaliyon pe ginvaao
**hamaarii piith ke piichhe hamein buraa na kaho

kaaf/vao**

Re: Bait Bazi (January 2015)

wo bhi kya log thay aasaN theeN rahaiN jin ki
band aankhaiN kiye ek simt chalay jaatay thay
aql-o-dil Khwaab-o-haqeeqat ki na uljhan na Khalish
muKhtalif jalway nigahooN ko na behlaatay thay

Re: Bait Bazi (January 2015)

*ye na thii hamaarii qismat ke visaal-e-yaar hotaa *
**agar aur jiite rahate yahii intazaar hotaa

hey/alif**

Re: Bait Bazi (January 2015)

humnay bhi zindagi ko tamasha bana diya
us say guzar gaye, kabhi Khud say guzar gaye

Re: Bait Bazi (January 2015)

*go sab ko baa-ham saagar-o-baadaa to nahin thaa *
**ye shahar udaas itanaa ziyaadaa to nahin thaa

tey/alif**

Re: Bait Bazi (January 2015)

tairey wadey par sitamgar abhi aur sabr kertay
Ager apni zindagi ka hameen eitabar hota

hay/alif

Re: Bait Bazi (January 2015)

Is ma qismat ki khata hai na zamany ka kasoor
ghum to insaan ky jeeny ki saza hoty hain

hay/noon

Re: Bait Bazi (January 2015)

nahin gar hamdardii aasaan na ho ye rashk kyaa kam hai
**na dii hotii Khudaayaa aarzoo-e-dost dushman ko

kaaf/vao**

Re: Bait Bazi (January 2015)

Kisi pa'ey kyun khulta merey dil ka mamlaa

Shairon kai intekhab nai ruswa kya mujhey

meem/yay

Re: Bait Bazi (January 2015)

*ye zaruurii nahii.n har shakhs masiihaa hii ho *
**pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaayaa na karo

kaaf/vao**

Re: Bait Bazi (January 2015)

vo mere her kaifyat kio na samjhy
vo mery sab havalay jaanta hai
mai us ki dastaras main hon mager
vo mujh ko mere raza say mangta hai

hay/yey