Bait Bazi (January 2015)

Re: Bait Bazi (January 2015)

ye to ek zid hai k mohsin main shikayat na karun…
Warna shikwey to hain itne mere yaar k bs.

Re: Bait Bazi (January 2015)

barishon kay mosam main
tum ko yaad karnay ki
aadatain purani hain
ab ki bar socha hay
aadatain badal Dalain
phir Khayaal aya kay
aadatain badalnay say
barishain nahi rukteeN

Re: Bait Bazi (January 2015)

Na raha janoon-e-rukh-e-wafa, yeh rasan yeh daar karogay kiya
Jinhain jurm-e-ishq pay naaz tha woh gonah gar chalay gaye

Re: Bait Bazi (January 2015)

go main raha rehen sitam-hae rozgar
lekin teray khayal say ghafil nahi raha

Re: Bait Bazi (January 2015)

Udhar aik harf keh kushtani yahan lakh uzr tha guftani
Jo kaha to sun kay urha diya jo likha to parh kay mita diya

Re: Bait Bazi (January 2015)

afsos beshumar sukhan-ha-e-guftani
khof-e-fasad-e-Khalq say nagufta reh gaye

Re: Bait Bazi (January 2015)

Gaye dinoon ka suraag lay k kidhar say aaya kidhar gaya woh
Ajeeb manoos ajnabi tha mujhay tou harran kar gaya woh

Re: Bait Bazi (January 2015)

wo rait kar kay meray KhwabooN ki zameeN ko
meray wajood main darya talaash karta hay
ganwaN kay mujh ko, kisi ehed-e-Khush-gumaani main
wo shayad ab koi mujh-sa talaash karta hay

Re: Bait Bazi (January 2015)

Yaad aur yaad ko bhulaane main,
Umar ki fassal katt gayi dekho,

Re: Bait Bazi (January 2015)

*vo baatein terii voh fasaane tere *
**shaguftaa shaguftaa bahaane tere

tey/ye**

Re: Bait Bazi (January 2015)

Tune dekha nahin aaine se aage kuch bhi
khudaparasti mein kahin tu na ganwale mujh ko

kaaf/wao

Re: Bait Bazi (January 2015)

*kab yaad me.n teraa saath nahin kab haath mein teraa haath nahin *
**sad shukr ke apanii raaton mein ab hijr kii koii raat nahin

Noon**

Re: Bait Bazi (January 2015)

Nigah-e-faqr main shaan-e-sikandari kya hai?
Khiraaj ki jo gada ho, wo qaiseri kya hai?

he/ye

Re: Bait Bazi (January 2015)

yun to har shaam ummeedon mey guzar jaatii hai
**aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa

Alif**

Re: Bait Bazi (January 2015)

In barishon say dosti ache nahi faraz . .. . . . . . . ..kacha tera makan hai kuch to khaial ka( frdship with rains is not good faraz.,how much poor u r. .behave ur self )

Re: Bait Bazi (January 2015)

rukh-e-roshan kay aagay shama rakh kar wo ye kehta hain
idhar aata hay dekhain, ya udhar parwaana jaata hay

Re: Bait Bazi (January 2015)

*honthon pey aa rahaa hai koi naam baar baar *
**sannaaton kii tilism ko toregii aah phir

pey/rey**

Re: Bait Bazi (January 2015)

phirtay hain misl-e-maoj-e-hawa sheher sheher main
awargi ki leher hay aur hum hain dosto

Re: Bait Bazi (January 2015)

*dard ke phuul bhii khilate hain bikhar jaate hain *
**zakhm kaise bhii hon kuchh roz mein bhar jaate hain

hey/noon**

Re: Bait Bazi (January 2015)

hum haiN wo TooTi hui kashtiyoo waale Faraz
jo kinaaron ko milaaty huwe mar jaty haiN