Bait Bazi (January 2015)

Re: Bait Bazi (January 2015)

dekha jo teer kha kay kameeN-gah ki taraf
apnay hi dostooN say mulaqat ho gayee

Re: Bait Bazi (January 2015)

Ye wafa ki sakht rahein, ye tumhary pao’n nazuk….
Na lo intiqaam mujh se, mere sath sath chal ke…

Re: Bait Bazi (January 2015)

kitna taweel hay safar, manzil-e-khair ka magar
thak-tay nahi hain paon ye, TooTa nahi hay hosla

Re: Bait Bazi (January 2015)

Ujaalay apni yaadon k hamaray saath rehnay do. . . .na janay kis galee main zindgee ki shaam ho jaye .

Re: Bait Bazi (January 2015)

jaatay hain dil say log muhabbat ki rah mein
lekin teray junoon main to sara gaya hun main

Re: Bait Bazi (January 2015)

Munzil par pohanch kar kho dain gay usay hum. . . . . . . . .yeh tay hai to phir shoq e safar kion nahi jata. ..

Re: Bait Bazi (January 2015)

*apanaa a.njaam to maaluum hai sab ko phir bhii *
**apanii nazaron mein har insaan sikandar kyuun hai

hey/ye**

Re: Bait Bazi (January 2015)

Husn Main Kho -E- Wafa , Dolat Main Taskeeen Tamaam
Aadmi Mahsoos Karta Hain Magar Hooti Nahiii

Re: Bait Bazi (January 2015)

nakaam-e-tamanna dil, is soch main rehta hay
yun hota to kya hota, yun hota to kya hota

Re: Bait Bazi (January 2015)

Acha khasa baithay baithay Gum ho jata hoon

Main Aksar main nahi rehta ,Tum ho jata hoon !

Re: Bait Bazi (January 2015)

naye suKhan ki talabgar hay ye naee duniya
wo ik baat puraani kahain to kis say kahain

Re: Bait Bazi (January 2015)

*kaare badarvaa aaye chaaii udaasii *
**bhigii bhigii palaken hain pyaar kii pyaasii

pey/ye**

Re: Bait Bazi (January 2015)

poora nahi utra hoon duniya ki tawaqo' par
dariya nazar aana tha, sehra nazar aata hoon

Re: Bait Bazi (January 2015)

Hamara kaam hai raaton ko rona yaad e dilber main . . . . . . .hamare neend hai mehv e khiaal e yaar ho jaana

Re: Bait Bazi (January 2015)

*Ilaahii kaamayaabii rahnumaa ho *
**koi ummeed vaaraanaa chalaa hai

hey/ye**

Re: Bait Bazi (January 2015)

ye such hy mujh ko aqal nay kuch pukhtagi to di
par wo maza kahan jo nadaniyoon main tha

Re: Bait Bazi (January 2015)

Tere bakhshe hue gham ka karishma hai k ab….
Mujhe har gham apne mayar se kam lagta hai

Re: Bait Bazi (January 2015)

har dil main hain hasratoon kay melay lagay huway
har shakhs aap apni umeedoN ki laash hay

Re: Bait Bazi (January 2015)

Nahi hota kabhi jo raabita mera us say mohsin. . . . . .main khud main doob jata hun, wo mujh ko mujh main milta hai

Re: Bait Bazi (January 2015)

ye tajarba bhi huwa hay bujhay charaGhon say
ke har andhera humain dekhna sikhata hay