Bait Bazi (January 2015)

Re: Bait Bazi (January 2015)

Hasrat Sey Tak Raha Tha KhilOna Khara hUa
BaCha Ghareeb Ka wO dUkaanOn Key Saamney

Re: Bait Bazi (January 2015)

Hasrat Sey Tak Raha Tha KhilOna Khara hUa
BaCha Ghareeb Ka wO dUkaanOn Key Saamney

Re: Bait Bazi (January 2015)

suno ye faKhr say ik raaz bhi hum faash kartay hain
kabhi hum monh bhi dhotay thay, magar ab wash kartay hain

Re: Bait Bazi (January 2015)

^ yeh kia tha ?

Re: Bait Bazi (January 2015)

^ tha nahi hay, waqeyatan, fee zaman mojood ast.

poori nazm hay, mainay nahi ijaad kiya ye sher

agla shair postain hey ya noon say

Re: Bait Bazi (January 2015)

Haaye afsos mataay-e-karwaaN jata raha

karwaan k dil say ahsas-e-zyaan jata raha

Re: Bait Bazi (January 2015)

wae nakaami, mata-e-karwaan jata raha

Re: Bait Bazi (January 2015)

rasm-e-ulfat he ijazat nahi deti warna
hum bhi tum ko aisa bholain k sada yad karo

Re: Bait Bazi (January 2015)

smack ..so its proved that my poetry memory is not good

koi phool hota hai kis terah ,koi dhool hota hai kis terah

yeh waqt waqt ki bat hai,tujhay zindgee batayee gee

Re: Bait Bazi (January 2015)

hum konsa memory say post kartay hain : p aik Khaka sa yaad hota hay sher ka, baqi umro ayyar ki zambeel jesi collection hay us main say

guzray hain teray bad bhi kuch log idhar say
lekin teri Khushboo na gai rah guzar say

Re: Bait Bazi (January 2015)

Sub he log sharek thay us k janazay main . . . . .wo shakhs jo tanhaaion k khof say mar gaia

Re: Bait Bazi (January 2015)

ab maot likh rahi hay kahani hayaat ki
shehroon main waqeyaat ka mosam badal gaya

Re: Bait Bazi (January 2015)

Uhe Raastoon pey jin par kabhi Tum thay Saath mere

mujhay rok rok ker poocha tera humsafar kahan hai !

Re: Bait Bazi (January 2015)

*hur manzil-e-hayaat se gum kar gayaa mujhe *
**mur mur ke raah mein vo teraa dekhanaa mujh

meem/ye**

Re: Bait Bazi (January 2015)

main jurm ka aitaraaf kar kay
kuch aur hay jo chhupa gaya hun

Re: Bait Bazi (January 2015)

namazain jub qaza hoon tub ada hoon

nigahain jub qaza hon kab ada hoon !

Re: Bait Bazi (January 2015)

hadd say tawaqoaat zyada kiye huway
beThay hain dil main ik irada kiye huyway

Re: Bait Bazi (January 2015)

Har Jurm Meri Zaat Say Mansoob Huwa Hai…
Kya Mere Siwa Shehr Mein Masoom Hain Saare

Re: Bait Bazi (January 2015)

saya-e-abr-e-rayegan hun main, maoj-e-bahr-e-bekaran hay tu
lamha-bhar mil k roothnay Walay, zindagi bhar ki dastan hay tu

Re: Bait Bazi (January 2015)

Tazheek-o iltefaat me kuchh imteyaaz rakh.
Mujhe dekh ke na muskura, haan muskura ke dekh