Re: Bait Bazi (January 2015)
do meel par hee tha meray mehboob ka makaan
chay meel main nikal gaya josh-e-shabaab main
Re: Bait Bazi (January 2015)
do meel par hee tha meray mehboob ka makaan
chay meel main nikal gaya josh-e-shabaab main
Re: Bait Bazi (January 2015)
main pooch pooch ker thak gaya ,mujhay chor ker kahan jaao gay
woh jawab tak na day saka,woh to khud sirapa sawal tha
Re: Bait Bazi (January 2015)
thay bohot bedard lamhay Khatm-e-dard-e-ishq kay
theen bohot bemeher subhain meherban raatoN kay baad
Re: Bait Bazi (January 2015)
Do chaar din or hain khuwabooN k silsilay
Phir to Mustaqil hain Azaaboon k silsilay !
Re: Bait Bazi (January 2015)
saya-e-abr-e-rayegan hun main, maoj-e-bahr-e-bekaran hay tu
lamha-bhar mil k rooThnay Walay, zindagi bhar ki dastan hay tu
Re: Bait Bazi (January 2015)
*tark-e-muhabbat par bhii hogii un ko nidaamat ham se ziyaadaa *
**kis ne kii hai kaun karegaa un se muhabbat ham se ziyaadaa
zey/hey**
Re: Bait Bazi (January 2015)
zabaan-e-yaar-e-man turki
wa man turki na mi daanam
Re: Bait Bazi (January 2015)
*mere ashk bhii hain is mein ye sharaab ubal na jaaye *
**meraa jaam chhuune vaale teraa haath jal na jaaye
jeem/ye**
Re: Bait Bazi (January 2015)
jeenay ka humain khud na mila waqt to kya hay
logon ko sikhatay rahay jeenay ka hunar hum
Re: Bait Bazi (January 2015)
*merii zindagii ke maalik mere dil pe haath rakhanaa *
**tere aane kii khushii mein meraa dam nikal na jaaye
jeem/ye**
Re: Bait Bazi (January 2015)
jashn-e-maqtal hi na barpa huwa, warna hum bhi
pa-ba-joolan hi sahi, naachtay gaatay jaatay
Re: Bait Bazi (January 2015)
yeh or bat hay minmber per kuch na kahain
khamooosh log bala k khateeb hotay hain !
Re: Bait Bazi (January 2015)
*hum ke thahare ajanabii itane madaaraaton ke baad *
**phir bane.nge aashnaa kitanii mulaaqaaton ke baad
bey/daal**
Re: Bait Bazi (January 2015)
dilon say mehr-o-wafaa, aankh say hayaa niklay
to aese sheher ki galiyon mein koi kya niklay
Re: Bait Bazi (January 2015)
na sawal e wasl ,na arz e gham . . . .na hikaytain ,na shikaytain . . . . tere ehad main Dil e zaar k. . . ...saray ikhtayaar chalay gaye . . .
Re: Bait Bazi (January 2015)
go main raha rehen sitam-hae rozgar
lekin teray khayal say ghafil nahi raha
Re: Bait Bazi (January 2015)
Rootha Agar Tujh Se To Iss Andaaz Se Roothoon Ga,
Tere Sheher Ki Mitti Bhi Mere Wajood Ko Tarse Gi……
Re: Bait Bazi (January 2015)
yoon to zabt bohat hai hum mein lekin
aankh tak aaye aan'su peena mushkil hota hai
Re: Bait Bazi (January 2015)
Ye barishain bhi tum si hain
Jo baras gaee to bahaar hai
Jo Theher gaee to qaraar hai
Kabhi aa gaee yunhi besabab
Kabhi chaa gaee yunhi roz-o-shab
Kabhi shor hy,Kabhi chup si hain
Ye barishain bhi tum si hain
Re: Bait Bazi (January 2015)
har bat pay kehtay ho k Tu kia hai. . . . .tum he kaho yeh andaaz e guftgu kia hai. .