Bait Bazi (January 2015)

Re: Bait Bazi (January 2015)

Na idhar k rahay,Na udhar k rahay . . . .Na khuda milla, na Wisaal e sanam . . .*sigh

Re: Bait Bazi (January 2015)

*masiih-e-vaqt sahii hum ko is se kyaa lenaa *
**kabhii mile bhii to dard-e-dil barhaa lenaa

laam/alif**

Re: Bait Bazi (January 2015)

lab-pay aati hay baat dil say hafeez
dil main janay kahaan say aati hay

he/ye

Re: Bait Bazi (January 2015)

hazarroN khuwahishain aysee k her khuwahish per dam niklay

baray niklay mere ArmaaN ,phir bhi kam niklay !

Re: Bait Bazi (January 2015)

*yahaan rah jaayenge guladaanon mein yaadon kii nazar *
**main to Khushbuu huun fizaaon mein bikahr jaauungaa

jeem/ye**

Re: Bait Bazi (January 2015)

nikalna khuld say adam ka suntay aye hain lekin
bahut be-aabaru hokar teray kuchay say ham niklay

Re: Bait Bazi (January 2015)

yeh charaagh bay nazar hai ,yeh sitaara bay zubaan hai

abhi tujh sa milta julta,koi doosra kahan hai

Re: Bait Bazi (January 2015)

hum na hoongay tujhay kon sada dega
hum faqeeron ko niganoon say giranay walay

Re: Bait Bazi (January 2015)

wajah bataanay ki zaroorat hee nahi rahi

woh lehjay badaltay gayee or hum ajnabi hotay gayee

Re: Bait Bazi (January 2015)

Ghareebon ki basti main bas, chal rahi hay
na bas chal raha hay, na bus chal rahi hay

Re: Bait Bazi (January 2015)

^ kia shair hai ...

hamaara derbadre ka yeh maajra hai k

musaafiroon ki terha apnay gher ko daikhtay hain

Re: Bait Bazi (January 2015)

na poocho kya guzarti hay dil-e-khuddar pay aksar
kisi be-meher ko jab meherbaan kehna hi paRta hay

Re: Bait Bazi (January 2015)

yeh jo sar guzishta say phirtay hain kitaaabo walay

in say mat mill k inhain roog hain khuwabon walay

Re: Bait Bazi (January 2015)

Waqt acha bhi aaye ga Nasir...
Ghum na ker zindagi parhi hai abhi

alif/yey

Re: Bait Bazi (January 2015)

yaad kay benishaan jazeeron say
teri aawaz aarahi hay abhi

Re: Bait Bazi (January 2015)

Aah Ko Chahiyay Ik Umr Asar Honay Tak
Kon Jeeta Hai Teri Zulf Keh Sar Honay Tak

tay/kaaf

Re: Bait Bazi (January 2015)

^ this has been posted already in this thread

Re: Bait Bazi (January 2015)

Ab dhundhane chale ho musafir ko dosto
Hadd-e-nigah tak na raha jab gubar bhi

Re: Bait Bazi (January 2015)

baat chali to neel gagan say taray toRay logoon nay
waqt paRa to jaan chhuRa li jaan say pyaray logoon nay

Re: Bait Bazi (January 2015)

yeh dasto r e wafa sadion say raaij hai zamanay main. . . . . . . ,sada-e-qurb di jin ko,unhe ko door daikha. . .